| Ghumzada Ujnabee Ghumzada Ujnabee! Tera mera ta'arruf purana nahin Hai humaree mulaqat bus aik hee Aur wo bhee mulaqat hai sursuree Ghumzada Ujnabee! Tere ghum kay subub say main waqif nahin Aur khud tujh say ghum ka subub poochhna Meri daanist main kuchh munaasib nahin Aisay ghum bhee hain dunya main jin kay liyay Ghum gusaree kay ulfaaz kafee nahin Aik be-waqt kee aagahee ka hai ghum Kitnay logon ko dust-e-tahee ka hai ghum Kuchh ko ghairon ka ghum, kuchh ko upnon ka ghum Jo udhooray rahay aisay supnon ka ghum Kuchh ko maazi kay kurda gunahon ka ghum Kuchh ko furda kee tareek rahon ka ghum Ujnabee-yut ka ghum, kuj adaee ka ghum Ik khilaf-e-tawaqqo juda-ee ka ghum Aisay ghum bhee hain seenon kay under chhupay Shirkat-e-ghum na jis main koi kur sakay |
| Copyright (C) Reserved by Author |
![]() |
| Kya kurain ujnabee! Upnay uslaaf jhootee una kay liyay Nusl-e-adam main tufreeq kurtay rahay Ub girohon main khulq-e-khuda but gaee Zaat hai, qaum hai, mulk hai, rung hai Aik adam ki aulad main jung hai Aik bhai ta'ayyush main mudhosh hai Doosray bhai pe zindagi tung hai Aik bhai kay sur say lahoo hai rawan Doosray bhai ke haath main sung hai Aisay ghum bhee hain chehron pe likhay huway jin ko hur shukhs upna hee ghum keh sakay Kusht-gan-e-sitam aik hee aag main jul rahay hain yehan Saaray furqat zada aik hee rah pe chul rahay hain yehan Saaray Muzloom logon ka ghum aik hai Saaree mehkoom qaumon ka ghum aik hai Budnaseeba chehray pe rung aik hai Mukhtalif hain mahaz aur jung aik hai |
![]() |
![]() |
![]() |
Ghumzada Ujnabee! Tu bhee meri turha Upnay ghum kay shuraron say sholay uttha Upnay boseeda aanchal ka purchum bana Chul mere saath chul Jung hum bhee kurain gay mugar mukhtalif Jis ka dunya pe hoga asar mukhtalif Jung ho gee mugur bhook say pyaas say Jubr say, jehl say, aur iflaas say Zulm kay aagay seena supar hon gay hum Zulmat-e-shub main misl-e-sahar hon gay hum Phir ugur zinda is jung say buch ga-aye Upnay ghum ka azala bhee ho jaa-aye ga Aur ugur hum ko jam-e-shahadat mila Jawidan zindagi hum ko mil ja-aye gee Ghum hai jo bhee humain wo nimat ja-aye ga Jubr ka yeh nizam-e-kohun aik din Upnay sa'ee umul say Ulat ja-aye ga ----------------------------------- |
![]() |