| Tum nay he saath dainay ka wada wafa nahin kiya Hum nay to aaj tuk tumhain dil say juda nahin kiya Hum he wo kum naseeb thay mangee milee na mot bhee Aap ka kya qusoor hay aap nay kya nahin kiya Aaj wafa ka waasta dayta hay wo wafa shikan Jis nay ghuroor-e-husn main khauf-e-khuda nahin kiya Qaul-o-qasam ko tor kay jub wo gaya thha chhor kay Tu nay Khudaya! us gharee hushr bapa nahin kiya Wo to yeh kahiyay sukht jaan hum thhay ke war seh ga-aye Tum nay wagarna aik bhee teer khata nahin kiya Mome huay pighal ga'aye, sung banay chatukh ga'aye Phir bhee zuban say aaj tuk hum nay gila nahin kiya Waisay to hur koee yehan, muttee ka hai qaseeda khwan Mittee ka jis pe qurz thha, us nay ada nahin kiya |
| Copyrights (C) Reserved by Author |
![]() |