| Aa kar galay say lag gaya an bun kay baad bhee Bachpan na jaa saka tera bachpan kay baad bhee Ab to her aik simt hain manzar heray bheray Aani hain kuchh rutain abhee sawan kay baad bhee Dushman ka ko�ee roop ho pehchantay hain hum Chehray wohee hain ghaaza-o-roghan kay baad bhee Phir ko�ee dosh daina meray zarf-e-deed ko Been�ee ger rahay teray darshan kay baad bhee Main kya karoon ga bakhshish-e-hoor-o-bahisht ko Jab too nah mil sakay mujhay jeevan kay baad bhee Murtaza Birlas (Irta'ash) |
| Copyright (C) Reserved by Author |