| |
| Tum ne kabhi ye hairat kun bhi baat sunee hai aur kahin Aanch hamaray dil main hai aur aag lagi hai aur kahin Itna hamain nadaan na samajh tu, khoob tujhay pehchantay hain Hum say zabani qol-o-qasm hain, aankh laree hai aur kahin Churdhta sooraj samnay hai, hum perd ke neechay baithhay hain Saara badan hai dhoop main apna chhaon ghanee hai aur kahin Faslay qurbat sab be ma'anee, rishta hai jo bhee soch ka hai Jism nazr aata hai, yehan par, jan paree hai aur kahin Teri hum say laag lagawat, sirf tasanno aur banawat Asl main teri chashm-e-siyasat dekh rahi hai aur kahin Aish kaday main hain waisay roshan jaisay roshan pehlay thay Koond rahi thhee burq jo in par, ja kay giri hai aur kahin Khak-e-watan say ishq ka jin ko zo'm hai un he logon nay Khak-e-watan se kee jo kama'ee, ja ke rakhee hai aur kahin Murtaza Birlas (Girah-e-Neembaaz) |
| Copyright (C) Reserved by Author |