Tera yun samnay aana, na kuchh kehna, na kuchh sunna
   Ho jaisay koi baigana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Nazr ka zawiya aisa, ke khush fehmi kare paida
   Magar masoom ban jana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Nahi jab wasta koi, to phir kya hai dam-e-rukhsat
   Yun mur mur dekhtay jana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Hazaron hum se behtar hain, to hum lakhon se behtar hain
   Yun he bas dil ko samjhana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Keh yun bhee pursish-e-gham par jo hum kehtay to kya kehtay
   To phir kahay ko pachhtana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Agar samjho ke wo ab tak raqeebon kay hay kehnay main
   To phir wapus chalay aana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

Jahan na-waqif-e-hifz-e-maratib log baithhay hon
   To is mehfil say uthh jaana, na kuchh kehna, na kuchh sunna

                                              Murtaza Birlas
                                             (Girah-e-Neembaaz)
Home
Copyright (C) Reserved by Author
Index of Girah-e-Neembaaz
Print/Download in PDF
Download Free Acrobat Reader (R)  for Reading PDF Files
You need Java to see this applet.
Hosted by www.Geocities.ws

1