Saaray zalim ugur suf ba suf ho ga'aye
    Hum, tahi dust bhee sur bakaf ho ga'aye
Wo talab kur rahay hain wafa dariyan
    Munharif jo uttha kay halaf ho ga'aye
Ub rawiyyay main teri lachuk kyon nahin
    Upnay huq say bhee hum bur taraf ho ga'aye
Wo jo kuchh bhee na thhay, ub hain sub kuchh wohi
    Dur badur saray ehlay sharaf ho ga'aye
Ye teri yaad kay ushk thhay is liyay
    Ankh main mislay durr-e-sadaf ho ga'aye
Kooza gur ka kamal-e-hunar kya huwa
    Jub na kooza bunay hum khazaf ho ga'aye
Munsalik hur khushee say huwee hur khushee
    Saray ghum aik he ghum main luf ho ga'aye
Baat us say sar-e-rah kya hum nay kee
    Nawak-e-dostan ka hadaf ho ga'aye
Ub humaree safa-ee main aa'aye ho tum
    Jab ke badnam hum hur taraf ho ga'aye
Mujrimon ko mara'aat itnee mileen
    Keh jara'im bhee shughl-o-shaghaf ho ga'aye
Tuf yeh awlad-e-bay his keh jis kay sabab
    Ra'egan kar ha-e-salaf ho ga'aye

                                                 
Murtaza Birlas
                                            (Girah-e-Neembaaz)
Home
Copyright (C) Reserved by Author
Index of Girah-e-Neembaaz
Print/Download in PDF
Download Free Acrobat Reader (R)  for Reading PDF Files
Hosted by www.Geocities.ws

1