| |
| Wo jo ramuz-e-ishq hai, kon samajh saka, ke yun Nakhun-e-uql say kabhi uqda nahin khhula, ke yun Maana ke muslehat thhee kuchh tum nay ugur kaha, ke yun Waqt karay ga faisla yun durust thha, ke yun Upnee khata hai bus yehi, hum nay munafqat na ki Jo bhee humaray dil thha keh diya burmala, ke yun Tu ne to loh-e-fikr say mazee khurach diya tamaam Main bhee tujhay bhula sakoon, koi amal bata, ke yun Main ne kaha ke bin tere kaisay katay gee zindagi Jultay huway chiragh ko usnay bujha diya, ke yun Pursish-e-hal-e-dil pe jab hum na jawab de sakay Chehra zabaan ban gaya, sab ne samajh liya, ke yun Tum pe kiya jo aitmad upna yehi qasoor thha Is say ziyada aur ab tum se kahain to kya, ke yun Sharh-e-nishat-e-wasl pe donon ka khul gaya bharam Main ne usay kaha ke yun, us ne mujhay kaha ke yun Pehlay na hum samajh sakay, log banay thhay dost kyon Waqt wo jab guzar gaya, phir ye pata chala, ke yun Jaanna chahtay thhay hum, logon ki wajh-e-be-hisee Khud hee jawab mil gaya, dekha jo aa'ina, ke yun Zo'm-e-khudaee thha jinhain, un ko kiya thha gharq-e-aab Aaj ke zalimon ka bhee hashar hamain dikha, ke yun Murtaza Birlas (Girah-e-Neembaaz) |
| Copyright (C) Reserved by Author |