| |
| Jab kabhi wo dene wala mauj me aa ja'aye hai De ke phir asoodgi, bunday ko purkha ja'aye hai Koi to mai-khwar aisa ho ke aapay main rahay Thhokarain khha ke to sub ko he samajh aa ja'aye hai Jitna hum aadab-e-mehfil main simuttay ja'ain hain Utna wo begana-e-adaab phaila ja'aye hai Aap ka khunjar hamari gurdanon pur ho to khair Hum agar uff bhee karain to zulm sumjha ja'aye hai Jaada-e-ta'eed upna'ain ke raah-e-ikhtlaf Bud gumanee ki taraf, hur aik rusta ja'aye hai Paich aisa hay putangon ka koi kuttee nahin Dor ka ub to sira haton se nikla ja'aye hai In ko aankhen mut kaho, chehray pe do dhhubbay kaho Warna itna zulm kub aankhon say dekha ja'aye hai Murtaza Birlas (Girah-e-Neembaaz) |
| Copyright (C) Reserved by Author |