| Hosla aye jurrat-e-izhar phir Aazmaish hay teri ik bar phir Muslahat na ashna hum aaj tuk Saree dunya dur pay aazar phir Aur bhee burdh jaingee ub ranjshain Saalsee ko aa gaye ughyar phir Hum b'mushkil jin say sunbhlay thay ubhee Ho gaye paida wohi asar phir Jiskay dur say bay his-o-hurkat rahay Sur pay lutkee hay wohi tulwar phir Sehn ke keekur ki chha'on pur fasaad Khhich na ja'aye ghar main ik deewar phir Kushtiyan saree jala kur urz-e-shauq Kar diya usnay ugur inkaar phir! Jub qyamat sar pe mundlanay lugee Ho ga'aye kya tum khauf say bedaar phir Quwwat-e-bazoo pe maanjhee aitmaad Khud he ho ja'aye ga berda paar phir Bhaij de ub to ababeelon ka ghol Ubraha kur nay ko hay ulghar phir Murtaza Birlas (Girah-e-Neembaaz) |
| Copyright (C) Reserved by Author |