Khayaalaat par haalaat, maahol aur sohbat ka intihaayi asar hota hai. Aap nay kabhi ghaur kya hai?
Hawa jis raastay say guzray gi, wohi asar lay gi. Hawa itar ki dukaan say ho kar guzraygi to meheknay lagay gi. Gandi jaga say guzraygi to badbu daar ho jaayegi
Isi liay kaha gaya hai keh buri sohbat say tanhai, aur tanhai say achhi sohbat behtar hai.