Rakaat


Farz namaaz ki rakaatein 2, 3, aur 4 kiyoon hein? Kam ya ziyaada kiyoon nahin?

Namaaz momin ki mairaaj hai. Mairaaj ism-e aala hai, yaani upar jaanay ka zariya.

Farishtay jo zameen say aasmaan ki taraf jaatay hein, un kay paro ki taadaad Qur�an mein 2, 3, aur 4 hein.


"Who made the angels, messengers with wings,- two, or three, or four (pairs)"
(Al Qur'an, 35:1)


Khuda ka ehsaan dekhiay, us nay momin ko saaray par day diay takeh who jaldi jaldi us tak pohanch jaaye!

Hosted by www.Geocities.ws

1