Parda: Qaid ya Hifaazat?


Baaz aurto ko kaho keh lo parda, to ho jaati hein afsurda.
Hijaab hai un kayliay azaab.

Kehti hein Islam nay parday ka hukam day kar aurat ko qaid kar diya hai.
Islam say pehlay log aurat ko aik aam pathar samajhtay thay, na chhupaatay tha na bachaatay thay. Sab dekhtay dikhaatay thay.

Islam nay aa kar kaha, Yeh aam pathar nahin hai. Yeh to bohat qeemti moti hai. Aur yeh baat aap bhi jaantay hein keh moti ko kitna chhupa kar rakha jaata hai. Kitno say chhupa kar mehfooz rakha jaata hai.


Parda Qaid nahin, Hifaazat hai. Hifaazat aur Qaid mein farq samjhiay.

Hosted by www.Geocities.ws

1