Agar sar sajda mein ho, aur khayaal maal ki taraf... to yeh sajda kis ko hua?
Haath baandhay kharay hon namaaz mein, aur soch ghairullah ki, to yeh ehtraam kiska hua?
Ghareebon par zulm karo, afsaro ki khushnoodi chaaho� yeh bandagi khuda ki hai?
Kya sirf pathar ko Khuda kay baraabar thehraanay wala mushrik hai?
Jo daulat, shohrat, aurat, aasaaish o namood o numaish kay aagay jhuk jaaye, kya who Musalmaan hai?