Musalmaan Ki Imaarat


Shaam jaa rahi thi. Raat aa rahi thi. Main soch ki duniya mein ghoom raha tha. Aisay mein aik falak bos imaarat ko dekh kar ruk gaya... aur dekhta raha.

Main is qadar ghaur say dekh raha tha keh woh imaarat meray "dekhnay" ko dekhnay lagi. Mujhsay poochhnay lagi, "Kya dekhtay ho?"

Mainay poochha, "Tu itni buland aur mazboot hai keh koi zalzala tujhay hataata nahin, koi toofaan tujhay giraata nahin. Yeh raaz kya hai?"

Imaarat nay kaha, "Meri bulandi aur mazbooti in eento (bricks) ki waja say hai. Dekhtay nahin kis tarah un eento nay apnay aap ko mita diya, khaak mein mila diya? Qurbaan ho gayeen? In ki qurbaani say aik bari imaarat mazboot ho gayi. Yehi meri mazboot buniyaadein hein. Doosri waja in eento ka ittihaad hai. Dekh lo kis tarah sab kay sab aik doosray say milay huay hein."

Yeh to hui duniya ki imaarat. Ab Islam ki imaarat aur musalmaan eento kay baaray mein kya khayaal hai?

Hosted by www.Geocities.ws

1