"Pait bhar kay na khaao, balkeh aik tihaayi (1/3rd) pait khaana khaao." - Hadith
Kam khaana sunnat hai. Aakhir kya waja hai?
Kam khaana bulandi ki jaanib lay jaata hai. Ziyaada khaanay aur ziyaada peenay say ziyaada neend aati hai. Jo ziyaada soya who ziyaada khoya.
Aap aik khaali matkay ka moo is tarah band kar dein keh paani us mein na jaa sakay, phir us ko samandar ki tehh mein chhor dein. Who fauran upar aayega. Jabkeh bhara hua matka neechay ki taraf jaayega. Pait khaali to bulandi, pait bhara hua to pasti. Pait khaali rakhein taakeh aap bulandi waalay raastay par gaamzan ho sakein, aur bulnadi waalay say humkalaam ho sakein.
Aadam Alaih Salaam thora khaatay thay to upar thay, jis din ziyaada khaaya us din neechay aa gaye.