Aasmaan rota hai to khoobsurat sabza ugta hai.
Qalam rota hai to aasmaan-e kaaghaz par alfaaz kay sitaaray chamaktay hein.
Bacha rota hai to ghiza milti hai
Beewi roti hai to tankhwaah milti hai.
Baad-e naseem roti hai to kaliyaan khilti hein.
Waqt-e sahar gunaahgaar rota hai to dozakh ki aag bujhti hai.
Saaray samandar, sab dariya, tamaam nadiyaan mil kar bhi dozakh ki aag bujhaana chaahein to nahin bujha saktay. Aur banda-e khuda ki aankh say nikla hua aik qatra usay bujha deta hai.
Aansu ka kitna wazan hai� aadmi 20 kilo wazan utha leta hai, magar aansu nahin utha paata who gir jaatay hein.