
Alwida maah-e Ramzan
Kis kay dil mein nahin tera armaan
Kaash rukhsat tu na hotaMarkaz-e noor, Ae Rabb kay mehmaan
Chashm-e purr namm hein sab ehl-e eemaan
Teray gham say hai dil mera larzaa
Alwida alwida maah-e RamzanTeri shaamein thi kya khoob bahaaraan
Teri subhein thi kya jalwa afzaan
Teri raatein thien bakhshish ka saamaan
Alwida alwida maah-e RamzanTeray aanay say zamaana har taraf purr noor tha
Masjid o mehraab o mimbar jagmagaatay jaa baja
Roza daaro ka bhi tha chehra bara ronaq bhara
Aah aisi barkatein ab hum say hoti hein juda
Hai dil, zabaan o jaan goya hiraasaan
Alwida alwida maah-e RamzanZindagi gar rahi meri baaqi
Saal bhar yeh tamanna rahaygi
Mera dil meri jaan tujh pay qurbaan
Alwida alwida maah-e RamzanAe maahe Ramzan koi damm ka tu ab mehmaan hai
Har musalmaan ab judaayi say teri bay jaan hai
Koi tarapta hai koi tasveer sa hairaan hai
Aah yeh sila hamaaray dard bay armaan hai
Phir na kiyoon ro ro kar kahay har aik musalmaan
Alwida alwida maah-e RamzanAah ab jaata hai tu ae maahe Ramzan aaslaaam
Kaash phir laaway tujhay duniya mein jab rabbul anaam
Hum bhi zinda reh kay dekhein phir suhaanay subh o shaam
Phir teray barkaat hueen nashr-e aalam mein tamaam
Aassalaam ae azime dargaah subhaan alwida
Alwida alwida maah-e Ramzan
![]()
![]()
P.S. Pass it on to friends, family, neighbors, Muslims and Non Muslims alike.