My_HINDI_POEMS

HINDI POEMS OF MADANMOHAN TARUN


"MADANMOHAN TARUN

KEE

KAVITAAYEN"


First web site Edition in Roman script


DECEMBER 2000

Copy Right Reserved By the Author


MADAN MOHAN TARUN

SHAKTI AVTARAN

-MadanMohan Tarun

Ghan ghanana ghanana
ghan ghanana ghanana
ghantaa swan se
ho gayaa ninaadit gagan loke

Bhung bhoong bhoong
Bhung bhoong bhoong
Shankhadhwani goonjee dishaa dishaa
Dim dimik dimik dim dimik dimik
Dim natit shabhu ho gaye
Jhamak janjhhaa jhakorene lagee
aur vedon ke mukh khul gaye
tabhee shat koti soorya kee aabhaa se
nabh prodbhaasit ho uthhaa

vidyu see chadhee singha par
bhroo kamaan kheenche
muskaati shakti utarne lageen
dishaayein mantramugdha ho gayeen
sneha kaa pavan pravaahit huyaa
kripaa kee vrishti barasane lagee

Devataa danuja manuja kaa bhaid
hridya se pal mein hee hata gayaa
aatmabodhit sab jana ho gaye
harsha se jada -chetan bhara gayaa

deva gana bole aatur bayana
badhha kar aarata swara-

He jaganmaatri! brahmaanda dhaatri !
tama kaa prakope badhha gayaa
satwa kee haar chaturdika huyee
srishti kaa artha vyartha ho gayaa
danuja dhartee se karane balaatkaar
unmatta jabhee ho gaye
dharaa paataal loke mein dhansee
satwa ke tatwa vigat ho gaye

Ho gayeen kruddhha deivee
dahaadane lagaa sigha
thar thar patte saa lagaa kampne
vishwa raajya

Bolee devon se

Moodha apaatron ke kar mein
nirgun saaree siddhhiyaan turat ho jaatee hain
jaba swayam satwa le kar mein
timir kuthhaar
moodha swaabhaavik hai tam kaa virodhe
mere satwaastron kaa moodhon itnaa nirodh
mere rachanaa vidhaan kaa itnaa durupyoga !

Singha par chadhhee kaalikaa
yudhhabhoomi mein utreen

tyoheen
mastaka par kesha ashesh
faharte laharaate
jyon
mahaanaash kee ghataa ghumada see aayee ho
dhanwaa see bhohon par palkon kee kasee dore
vish bujhe sharon see chadhee varuniyon kee kataar
raktoshthha beech asi see jihwaa
vikaraal badan
garjan tarjan kartaa
aga jaga ko thharraataa
ati amaa varna
vikaraala kaala saa rudra
mahisha par chadhhaa huyaa,br> himsaa jaise ho khadee
kruddhha ati moortimaan

Tootaa chhootaa
garjaa gabheer swar mein
uchhalaa,br> thhar thharaa gayee dhartee
nabh
ab tootaa tab tootaa saa ho gyaa

karbaala uthhaayaa karane ko jyon hee prahaar
devee muskaayeen
vishwavimohan ek baar
shakti ke nayana se do teekhee rashmiyaan nikal
Mahisaasur kee aankhon se ur mein utar
oordhwa ho khilaa jyoti kaa sahasraar
tan ke reshe reshe mein jaakar risheen
peshiyon mein umethha see huyee
sindhu ke jwaar tootane lage
khadag kar mein pakade rah gyaa
saumya ban hinsaa thhithhakee rahee

Mahish kee aankhon mein anuraaga
hridaya mein pulak mridul bhar gayaa

Danuj bolaa Durgaa ko dekha-

Ahe tum kaun !
tuma mohan kee raasottmanga saakaar
yaa ki tum khud muralee kee taan !
saundrya sindhu kee mantra prnaya mohit tarang
sapnon se virachita teraa snehil anga - anga

tum utara gagana se ek chandrarekhaa see
yudhha ke raudra mein mohan ras lekhaa see

dishaayen ank
dharaa padmaasanasth

Tumhaaree
aankhon mein
neerava nabh kaa aseem vistaar
hridaya mein satvasindhu shuklaa taranga
adharon mein amrit rasaanand
tumhaare ravi - shashi yugal uroje
digambar viksit tan kamboje
kesh tam mein mukh ushaa udote
charan mein paayal kee jhankaar
drishti kaa chalan srishti kaa gaan

kaant ati saras snigdh sukumaar
kiye nij karatala kaa vistaar
de rahee rakshhaa kaa ashwaasan
teree chhaayaa mein brahmaand

satwa mein bheeng rahaa hai tam
amaa kaa shuklaa par avataran
Aho! tum kaun !

Durgaa muskaayeen madhur
heire kar drishti sammohan
mohan dishaa - dishaa

nabh arun
tarun ho gayaa srishti kaa ang-ang
chhaayaa vasant
aayatt huaa brahmaand sakala
shukla kaa ekaalok vritta chhaa gayaa
Durgaa ke dasha baahul diganta
vistrit ananta ho gaye

daanava ne dekhaa heire swayama ko
woh Durgaa
Durgaa yah ag
Durgaa yaha jag
brahamaada mahaamandir mein
kartaa huaa naad goonjaa yah swar

DURGAA...DRGAA..DURGAA...DURGAA..


0 MEIN JAGATA KEE NAVAL GEETAA DRISHTI

- Madan Mohan Tarun

Kruddhha kansa viruddhh
Vajril danuj attaahaasa
Kar - padon kee shrinkhalaa
Jhan jhan jhanakee
Sajag prahree ke swaron se
Kapit kaaraavaas
Gagana ghana ghir ghir
Ghumad gharshan
Hahara har har har hahar varshan

Devakee ke chhal chhalaaye nayan
Vedanaa se kapa kapaaye bayan

Arddhha rajanee vigat
Tam kee vinat palakein
Prahariyon ke nayan mein
ghul gaye sapane

Madhur muralee swaran
Suthhi dukha haran sumadhur

Kshitija bandhana mukta
Madhurima jyoti kaa
Avatarana bhaaswara

Yugal mukharana maun
Charana shata shata
Baahu shata shata
Badana shata shata
Avani ambara
Samaakaara viraata

He atula astitwamaya nistitwa
Tum naheen maayaa
naheen tum
deiva danuja na manuja

tab tum kaun

kaal andh prakoshthh bandh
khule khanak kar
praaniyon kee shrinkhalaa
tootee jhanak kar
thamita sindhur jwaara
thithake vaayu ke pad chaap
chaturdik failee
prabodhan guru gabheeraawaaj

ghanon kaa gharshan praharshan
vidyu kaa pratifalan
tamas par
mein shashi vibhaa ke satwa kaa avataran
mein tumhaaree vedanaa kee sadhanaa kee srishti
mein jagat kee naval geetaa drishti
kansa kuru ke vansha kaa vidhvansh
timir par mein jyoti ravi avatansh

Tanik bhar muskaan
Bole phir sahaj bhagavaan
Mein kamal
Meree surabhi brahmaand kaa vistaar
Krishn mein bhee
krishna tuma bhee
krishna vah bhee
Devakee jab se samajhne lagee khud ko
Tabhee se yah huyaa atyaachaar

Aaj too hai srinkhlaa se mukt
Kyonki tum tatwam aham se yukt
Khul gaye hain nayan ke sab dwaar
Chaturdik too too
Tumhaaraa chaturdik vistaar

0


BANDHA TODO

-MadanMohan Tarun

Bandha todo praan kee sookhee dharaa par
Jyoti kee gamgaa utaranaa chaahtee hai

Vritta kee aavritti ,punraavritti
kolhoo ke vrishabha saa ,
Karm karanaa, udar bharanaa
mrityu varanaa hai na jeevan,

khoj hai jeevan gagan vistaar,
saagar kee gahanataa
aur udghaatan ghanon mein baddha
dinakar kee prakharata

Nayana kholo ,gagan ghan anchal hataa kar
Vidyu kee vanitaa vihasanaa chaahatee hai.

Mrityu kee aaraadhanaa mein ,
Bhool koyee rah gayee hai,
Isliye tum amarataa se rikt hokar
Rah gaye ho,

Chale the tum soorya leikar,
Toorya leikar ,Deepti leikar
Kintu ve tam ke sadan kee,
Arglaa mein bandh gaye hain

Khol do sab dwaar ,dugdhil chandrikaa se,
Aaj sarsaa sikt honaa chaahatee hai .
0


NAV SRIJAN SANKALP MERAA

-MadanMohan Tarun

Is sadee kee cheekh meree,
Us sadee kaa geet meraa.

Naheen durghatanaa manuj kaa janm koyee,
Har nayaa mausam charan nikshep hai
Nootan srijan kaa.

Vriddh man hotaa nahee fir jaraa kaisee,
Har nayaa sankalp hai
nootan Anaagat ke kshitij kaa.

Chandr virahit nishaa meiree,
Soorya sajag prabhaat meraa.

Roop rachnaa bhed ,vidhi kaa arth kyaa hai ,
Naye rangon se rangee hai har amarataa.
Anugaman kaa arth koyee sach naheen hai,
Siddhhi kaa sab panth sabakaa alag apnaa.

Rakt plaavit dharaa meree,
Navasrijan sankalp meraa.

0


TEESVEE YA EKTEESVEE FAANSEE

-MadanMohan Tarun

Sach to yah hai
ki meree fansee kee sajaa tay ho chukee thee
Aur ab loag mere liye apraadh gadh rahe the
Kahte hain
Daftar raat bhar vyast thaa
Aur baboo over time paakar khush the
Aur kaanoon kee kitaab kaa vah prishthha
Fir se likhaa jaa rahaa thaa
Jahaan saahab kee kalam
Sote-sote chhoot gayee thee

Jo atarkya thaa
Use nayaa tark diyaa jaa rahaa thaa
Aur chhaape ke aksharon ke beech ke
Khaalee sansaar mein
Ek nayee duniyaa rachee jaa rahee thhee
Jahaan mujhe faansee dee jaane baalee thhee

Har aahat mere oopar
Mano bhaaree bojh see gir rahee thhee
Aur sannaataa
Mujhe sajag jaasoose saa ghoortaa huaa
Mujh mein naye apraadhon kee
Khoj kar rahaa thhaa

Yah faansee mujhe pahlee baar
Nahee dee jaa rahee thhee
Yah maheene kee
Teesvee yaa ekteesvee fansee thhee
Har doosre din kee tarah
Aur bhee bedard ..aur bhee teestee huyee

Mere liye jindgee
Us veeraan sarkaaree raaste see
Ban gayee thhee
Jahaan aadmee kaa swaabhimaan hee
Uskaa khatarnaak jaasoose ban jaataa hai

Ve chaahte to
Doodh kee makkhee kee tarah
Mujhe faik sakte thhe

Magar nahee
Unhone aisaa naheen kiyaa
Kyon ki main unke
Nyaaya kaa dhhindhhoraa thhaa
Jise ve galee -galee mein bajaa rahe thhe

Kabhee-kabhee ve mujhe
Jhande kee tarah
Ooper latkaa dete
Aur saaraa shahar unkee vijay ke
Geet gaane lagtaa

Kabhee ve mujhe pahan laite aur
Har kisee ko lagtaa
Vah nangaa nahee hai

Kabhee-kabhee ve
Mujhe paavon se raund -raund daalte
Aur
Nyaay apne paancho muh se
Unkee jai- jaikaar karne lagtaa

Pooree vyvasthha kee
Is haathhaa- paayee ke beech

Mein har jagah se itnaa toot chukaa thhaa
Ki mujhe
Na apnee gardan kaa ehsaas thhaa
Na faansee ke fande kaa

Mein ekdam akelaa thhaa
Aisaa nahee

Darasla loag do dalo mein
Bant chuke thhe
Ek dal rone vaalon kaa
Jise mujh se sahaanubhooti thhee
Doosraa jai-jaikaar karne vaalo kaa dal
Jo faansee kee nayee- nayee rasseeyaan
Baatne mein vyast thhaa

Magar sach to yah hai ki
Main apne hee logo kee pahchaan
Bhool gayaa thha
Kyonki
Is dal ke paanch aadmee
Kabhee us dal mein jaakar
Faansee kee rassiyan baantne lagte
To kabhee
Us dal ke paanch aadmee
Is dal mein aakar
Mere paksh mein
Rone aur chhatee peetane
Chale aate

Is nirmam ektaa ke beech
Fansee kaa majboot khambhaa
Khadaa kiyaa jaa chukaa thhaa
Rassiyaan baantee jaa chukee thhee

Aur har kisee kee aankho mein
Main us tamaase ke climex kee
Nirmam prateekshhaa ban chukaa thhaa
Jo
Is maheene kee
Meree
Teesvee
Yaa
Ekteesvee
Fansee thhee

O

YUGGAANT KE VIDOOSHAK

MadanMohan Tarun

Kintu nahee bandhu nahee
Vah antim vidooshak tumhee nahee ho

Sach hai ki tumne
Ghaayal bhavishya ko
Aur bhee lahooluhaan kar
Andheree guphaaon mein
Dhakail diyaa
Kyonki vah tumhaaraa prtipakshha thhaa

Kintu
Yah bhee sach hai bandhu

Ki
Ve saare vidooshak
Jo
Vaanee aur vichaaro ke pratimaan bane
Tumhaare aas -paa
Bhoo - vaanee
Aur
Aakaash- vaanee ko
Ektaan kar rahe thhe

Jinhone
Surakshhaa ke naam par
Ek nahee aneko baar
Tumhaaree naasikaa
Rakta- ranjit kar daalee thhee

Ve
Fir se naye
Sarkson kee talaash karne lage hain bandhu !

Priyvar !
Kankad phaad nahee hote
Aur kaurvon kaa paasaa
Hameshaa
Keval paandvon ko hee paraajit nahee karta

Keval roshnee-roshnee
Chillaane se
Fuge bulb nahee jalaa karte

Aaj
Tumhe kaisaa lagtaa hogaa

Jab tumhaare hee raajsooya kaa ghodaa
Pratipakshha kee savaaree banaa
Thheek tumhaare darvaaje ke
Saamne hee khadaa
Hinhinaa rahaa hai

Priya bandhu !
Kahee vah
Tumhaaraa ghaayal bhavshya to nahee thhaa
Jise tum jyotish kee leek par
Sarpat doudaaye chale jaa rahe thhe

Yah batteese daanton vaalaa
Bhookhe kankaalon kaa bhavan hai bandhu
Jahaan jeeve koyee nahee hai
Sirf
Anjar- panjar din - raat
Khadkhadaate rahte hain

Yahaan daant -hee- daant hain
Ek- doosre kee chheenaa- jhaptee ke
Barbar khelon ke
Nrishans visheshagya

Priyavar
Pichhle athharah sargon kee
Apnee

Sharmnaak chuppee
Ke liye kshhamaa maang kar
Ab ve yug naaykon kee
Jaghon par
Fir se khade ho gaye hain

Us vikat yuddha mein bhee
Poorntah akshhat
Poorntah swasth
Swchha vastron mein chamchamaate huye

Sachmuch ve kitne divya lagte hain
Kitne divya

Sach kahaa hai
Vahee jee saktaa hai
Jo shreshthha hai sarvochcha hai

Geedh murde dekh hee late hain bandhu
Chaahe ve kitnee hee oochaayee par hon

Ve sab
Apne- apne porvjon
Kee
Laashon kochaaron ore se gher kar
Baithh gaye hain
Viraasat ke rakshhton kee
Kraantikaaree mudraon mein

Ab shuroo hoga
Geedhhon kee chonch ke nyaaya kaa khel

Sachmuch
Ve
Kitne divya lagte hain
Apne hee pakshha ke
Yoddhhaaaon kee kshhat- vikshhat
Laashon kee dhher par

Kyaa ve din thhe bandhhu
Jab
Doosron ke upaarjit ateet ko
Tumne apne sir par
Vijaya mukut kee tarah
Dhhaaran kar liyaa thhaa

Itihaas fir se likhaa gayaa thhaa
Tumhaare hee visheshagya

Muneemo ke dwaaraa

Havaa mein goonj rahe thhe
Maatra
Tumhaare hee jaighosh ke naare

Tab
Tum
Kitne nishchint the bandhhu
Kitne aashwast

Kintu Tabhee
Aandhee
Jo aasmaan se nahee aa sakee thhee
Vah dhartee ke nanhe- nanhe
Chhidron se nikal kar
Hooh bhartaa toofaan ban gayee thhee
Fat padaa thha paanee
Choohon ke bilon se
Jo
Na jaane
Kitne janmo se rukaa padaa thhaa wahaan

Aur mahaakaal kaa garveelaa chehraa
Jise tumne apne parichaya saa
Pahan rakhhaa thhaa
Wah achaanak
Jagah- jagah se ukhad kar
Kitnaa badrang
Aur
Haasyaaspad ho gayaa thhaa bandhu
Jise dekh kar
Jitnaa hasnaa kathhin thhaa
Utnaa hee us se darnaa

Sachmuch
Lajjit mahaantaa kaa
Yah kitnaa sharmnaak
Aur
Veraham
Yug thhaa bandhu
Jiske tum naayak thhe
O

TAB SEETAA NE POOCHHAA

-MadanMohan Tarun

Raaje hae sthti mein poojya hote hain
Chaahe ve madyapaayee hon
Yaa
Amritpaayee

Unkaa har chintan
Ek swasth parampraa hai

Unkaa har aachran
Ek maryaadaa

Tabhee se jaantee hun
Jab main
Nyaaya kaa dhhindhoraa banee
Vaalmiki ke janglon mein
Dhhoodhtee firee aashrya
Tumhaare bhavishya kaa
Tab,br> Tum Ayodhyaa mein
Sone kee Seetaaon se Yagya rachaa rahe thhe

Tabhee se jaantee hun
Jab vivaah meraa thhaa
Aur pratigyaa kee thhee Janak ne
Vah bhee ek paraaye dhanush ke
Khandan kee
Main Koyee
Neelaam kee vastu thhee jaise

Jaimaalaa liye
Na jaane kitnee baar
Khadee hotee main
Aur kleebon kaa dal
Dhanush ke uttaap se skhalit ho
Baar- baar
Lauttaa
Aur
Parvashtaa kaa
Nishthhur bodh
Muh biraataa mujhe

Tabhee maine samjhaa thhaa
Kleevtaa jab pad paatee hai
Veertaa kahlaatee hai

Unhee dino
Praajay se khand - khand Jeevan

Ke
Apmaanit kshano mein
Maine tumhe dekhaa thhaa
Aur
Tumhe dekhte hee lagaa thhaa
Bas tumhee ho
Kebal tumhee ho
Mere praapya
Meree prteekshaa

Yaad hai ab bhee vah jaagrat kshan

Jab maine pulkit man
Aur kaapte haathho se
Daalee thhee maalaa
Tmhaaree greevaa mein
Aur
Naach uthhee thee meree
Rome raashiyon kee pattee- pattee
Khil uthhe thhe
Prateekshhaa ke
Phool-phool

Parantu
Vah naatak thaa
Mahaakaal ke ek kshudra kshna kaa
Jisme kabhee- kabhee
Bhar jaatee hai jholee ayaachit hee
Hatheliyaa
Ban jaatee hain samudra

Mujhe yaad hai
Jab
Raavan vadh kee lambee
Mlnaatur prateekshaa ke baad
Shivikaa se
Laa rahe the Vibheeshan
Mujhe tumhaare paas
Tab
Tumne
Apnee Darun Shankaaon Kee
Til-til aag mein jhulaste

Apne
Kshan-prati-kshan

Antardaahon- haahaakaaron
Ek- ek kar
Vidaarak - daahak
Vaan chhode thhe mujh par
Laakhon vaanro
Aur sahsro samarpit daanvon ke beech
Mujh shankaa -rahit
Thhakit - chakit
Sarvaarpit,br> Nirastra par
Oh !
Ve kroore shabd
Ab bhee bideern karte hain vakshha
Nirday shool kee tarah

"Pardaa satiyon ke liye hai"
Tumne mere ang -ang
Pore - pore par shankaa kee thhee Raam!
Jaise Raavan ke ango ke
Uttaap mein pighal chukee ho
Meree kaayaa !

Yaad hai kroore
Jab tumne kahaa thhaa
Chalee jao
Uttar dakshhin poorab pashchim
Jahaa bhee chaaho
Poorn ho chukaa meraa kartavya
Tumhe Raavan se chheen kar
Kul kee lajjaa kee
Rakshhaa kar lee maine

Siddha kar diyaa
Raghuvansh kaa prtaap

He seete !
Ab tum mukt ho
Is anant aakaash ke neeche
Is vishaal prithvi ke khule vistaar mein

Yah yuddhha thhaa mahaj
Raghuvansh kee pratishthhaa kaa
Nijee nitaant
Nijee sthaapnaaon kaa
Aur ye kulaadham kreet budhhijeevee
Kavi -mahaakavi
Tumhaare is ochhe aachran ke pakshh mein
Sadaa kee tarah

Kahaa thhee
Tumhaaree udaartaa mahaantaa
Jab main khadee kee gayee thhee
Dhhadhhaktee agni ke beech
Sateetwa kee pareekshhaa ke naam par
Kyaa meree nahee thhee kaayaa
Tumhaaree hee tarah
Kyaa main hee thee
Dhhatu see jad aur nishpraan
Kyaa tum nahee rahe thhe
Akele in varshon mein
Kyaa tumhaare liye aavshyak nahee thhee
Vaisee hee agni-pareekshhaa

Nahee�nahee..
Mahaantaa kaa adham khel thhaa yah
Bach gaye to apne bhaagya se
Aur
Jal mare to
Ek aur prishthha likhaa jaayegaa
Swanaakshhron se
Raghuvansh kaa

Yah thhaa
Hamaaree daarun prteekshhaa kaa
Til-til ghulaataa
Pal - pal todtaa
Milan kaa apmaanit puraskaar

Uf !
Mujhe kyaa samjhaa tumne Raam!
Jab chaahaa
Aag mein jalaa diyaa

Jab chaahaa
Prthvee kee gahraaiyon mein
Dabaa diyaa

Aur tumhaare budhhijeevee
Ise tumhaaree jaigaathhaa banaa kar
Jhande saa fahraate rahe

Sadiyon- sadiyon tak
Vahee geet gaate rahe

Yaanee tumne jo kiyaa
Vah mahaj leelaa thhee
Aur
Main jo til- til
Jalee-jhulasee
Apnee hee jwaalaamukhiyon mein
Apmaanit huyee pal-pal
Kabhee maryaadaaon ke naam par
Kabhee Raguvansh
To kabhee
Raam-rajya ke
Kisee dhobee ke naam par,br> Vah
Vah
maatr
Meree niyatee thhee
Keval meree niyatee
Jise main jeevan bhar
Dhhone ko abhishapt thhee
Akelee aur ashaaya

Jab main
Tumhaare nyaay kaa dhhindhhoraa banee
Valmeeki ke janglon mein
Dhhoodhtee firee aashraya
Tumhaare bhvishya kaa
Tab tum Ayodhhyaa mein
Sone kee seetaaon se
Ygya rachaate rahe

Sach kaho Raam
Kisakaa thhaa veerya mujh mein

Lav aur Kush kaa aakaar letaa hua
Kaun saakshhee thaa is satya kaa
Tumhaare sivaa

Fir bhee tum chup rahe
Kis maryaadaa ke naam par

Bali -vadha kee maryaadaa ke naam par
Yaa raam -raajya ke naam par

Kyaa main nahee thee
Us Raam- raajya kee naagrik

Kyaa samraat
khadaa nahee kar sakte thhe mujhe
us dhobee ke saamne

Yaa swayam maryaadaa purushottam
Nahee khole sakte thhe apni jihwaa
Satya ke pakshha mein

Nahee Raam , nahee
Sach to yah thha ki
Raavan ke dansh se danshit
Meree kaayaa
Tumhe saaltee rahee
Tum bhee jalte rahe
Apne bheetar kee jwaalaamukhiyon mein
Durmukh to matr ek marg thhaa
Us abhishaapit kaayaase mukti kaa
Jo aag mein jal kar bhee pavitra nahee huyee

O afbaahjeevee samraat!
Tumhaaraa adhikaar-bodh,br> Vishaal daanav kee tarah
Hunkaartaa hua
Sadaa leeltaa rahaa mujhe

Tumhaaraa apnaa hee dhua
Sadaa kaalikh potetaa rahaa
Mujh par

Aur tum nirvikaar pratimaa kee tarah
Poojit rahe
Vandit rahe

He Raam !

Yah sab kyaa thhaa
Satya !
Maryaadaa!
Prajaatantra!
Yaa
Jhooth!
Chhal!
Fareib!
Yaa
Dhong !
Kyaa thhaa yah !

O

SAANP

-MadanMohan Tarun

EK SAANP
KHOONTEE PAR TANGAA HUA
EK SAANP RANDHRA
MEIN ATAA HUA
EK SAANP
DATAA HUA DWAAR PAR
EK SAANP
MAIN
KISKO DANSOO
0

Ms CATE

-MadanMohan Tarun

JAB HAVAA MEIN
GOONJNE LAGTE HAIN
KHOONEE ANDHERON KE
JAANE ANJAANE
ANANT ABHISHAAPIT
CHEHRE

JAB
KHOON SE LAAL HO
JAATAA HAI
SADIYON PURAANAA
SAROVAR
JAB DHARM
BACHCHON ,AURTON
,BOODHON
AUR SOYE MAJDOORON
KO CHHOD KAR
AUR KUCHHA BHEE
KHAANAA
CHHOD DETAA HAI

JAB LAHOO TAPAKNE
LAGTAA HAI
MASJID KEE AJAANON SE
JAB MANDIR KEE
GHANTIYAAN
BECHAIN HO JAATEE HAIN
APNE HEE DEVTAAYON
KO
NIGAL JAANE KO
JAB AMERICA KE
ANDKOSH SAA
HILTAA DIKHAAYEE
DENE LAGTAA HAI
BOODHE KHANNAAS
DALAALON KAA
RAASHTRSANGHA
EK
NIRMAM AUR
SANAATAN SWARGEEYA
SHAANTI
KEE KHOJE MEIN DUNIYAA KE
SABSE SHAANDAAR
BHAVAN MEIN
SHUROO HO JAATAA HAI
Ms CATE KAA NRITYA

CHILMILAATEE
ANDHEREE ROSHNEE KEE
LUKKAA CHHUPPEE MEIN
KABHEE UBHARTE HAIN
KHNNAAS BHADUYE
KABHEE
SWAYAMSIDDHA
ANTERRAASHTRIYA
RANDIYON KE
KHANAKTE CHEHRE

DOOSRON KAA
PRJAATANTRA GEENJTE
HAR UBHARTEE TAAKAT
KEE ANTADIYON SE
VISH KAA KHEL KHELTE
DOOSRON KEE
SEEMAAYON PAR
BOTE HUYE KHOONEE
ASTRAAGAAR

DAALRON MEIN
KHANKAATE HUYE
CHHOTE - CHHOTE DESH

APNE PAALTOO KUTTON
KEE
LAGAATAAR HILTEE DUM
KE SWAABHIMAAN KO
PUCHKAARTE
JAALIM PANJON KEE
CHHYAA MEIN
GHINNA GHINNA
NAACH RAHEE HAI Ms
CATE

TEIJ ARCHESTRA KEE
UNMAADAK
JAANLEVAA DHUNON PAR
APNE STAN UCHHALTEE
CHOOTAD CHAMKAATEE
YONI DHADHKAATEE
SISKAARTEE
NAACHTEE RAHTEE HAI
NAACHTEE RAHTEE HAI
Ms CATE

TIGHT HOUSE SE GREEN
HOUSE MEIN
BROWN HOUSE SE BLACK
HOUSE MEIN
RED HOUSE KE
RAHSYAMAYA
ANDHERON MEIN
AUR...
AUR...
OOS BULLET-PROOF
SHOW - CASE MEIN BHEE
JAHAN
MAHAARAAJ SADAA
KHUSH RAHTE HAIN
APNEE MAHAARAANEE
KE SAATH

0

KABHEE

MadanMohan Tarun

KABHEE KHILE HO
VIYAAVAAN JANGAL KE
UNMATTA GANDHA-
VYAAKUL
PHOOL KEE TARAH ?

KABHEE JWAARIL
TRANGON
KEE TARAH
UMDE HO
PRESS, T.V. ,RADIO SE
DUUR
SAAGAR KEE TARAH
SANNAATON MEIN !

KABHEE CHAHAK UTHE
HO
PAKSHHIYON KEE TARAH!

SUBAH KEE GULAABEE
DHOOP KEE
CHHUVAN SE VYAAKUL
HAVAA KE HALKE
SPRSHA SE AAHLAADIT
SHAHAR KE BAAHAR KEE
ANJAAN
DOORIYON MEIN !

KABHEE JHAR PADE HO
SUNSAAN GHAATIYON
MEIN
NIRVAADH UCHHAL
UNMAAD KE NIRJHAR
KEE TRAH !

KABHEE UD KAR
BIKHAR GAYE HO
YON HEE
DOPAHREE KE
SANNAATON MEIN
PATJHAD KE PATTON
KEE TARAH
SAMAY KEE BAVISHYA
RAHIT
ANAAM DISHAAYON
MEIN !

0

KYON

-MadanMohan Tarun

JAISAA TUM LIKHTE HO
VAISAA HEE MAIN
MEIN KYON LIKHOON ?

TUMHAARE JAISAA HEE
MAIN KYON DIKHOON ?

KYON GHOLOON MAIN
APNE PAANEE MAIN
TUMHAARAA RANG
KYON LADOON MAIN
TUMHAAREE
MAHATWAAKANKSHAAON
KEE
JANG ?

SACH HAI
SHABDON KEE DUNIYAA
SE
AB MAIN APNE KO
NISHKAASIT
ANUBHAV KARTAA HOON

KINTU

JAANTAA HOON
AB BHEE GAADHAA HAI
MEREE SYAAHEE KAA
RANG

AKELAA HUA TO KYAA
HUA
YAH BHEE HAI
JEENE KAA
EK DHANG .

KYAA SAAGAR NAHEEN
DAHAADATAA
OOS SAMAY BHEE
JAB HOTAA HAI
NIPAT AKELAA ?

GAHRAATEE HUYEE RAAT
KE
SANNATE MAIN
KYAA PHOOL NAHEEN
KHILTE
JANGLON MEIN
JAHAAN JAANWAR
SAMAJHTE HAIN UNHEN
APNAA BHOJAN
SIRF BHOJAN /

KYAA NAHEEN
GARAJATE BAADAL
VEERAANON MEIN BHEE
JAHAAN KOYEE
UNKEE AAVAAJ NAHEEN
SUNTAA ?

KYAA NAHEEN CHMAK
UTHTEE HAI BIJLEE
SANNAATON MEIN BHEE
JAHAAN OOS PAR
KOYEE KAVITAA
NAHEEN LIKHTAA ?

KYAA FASAL KUT
JAANE KE BAAD
KHAIT NAHEEN HOTE ?

KYAA FAL TOD
LIYE JAANE KE BAAD
VRIKSH NAHEEN HOTE ?

LOO SE DHADHAKTE
ES MAUSAM MEIN
UKATH KAATH
HO GAYAA HAI TANAA
PARANTU
BHEETAR JAAREE HAI
YAATRAA VASANT KEE.

KAL
HAMAARAA HAI BANDHU!

BAALOO KE BHEETAR
NADEE GAATEE HAI

ROME SHEERSHON PAR
SAANSEN
LIKHE JAA RAHEE HAIN
ANAAGAT KEE PUKAAR.

JAISAA TERAA YUG
DEEKHTAA HAI
VAISAA HEE MAIN
KYON DIKHOON ?

JAISAA
TUM LIKHTE HO
VAISAA HEE
MAIN
KYON LIKHOON ?
0

KAHAAN

-MdanMohan Tarun

SAARE PANNE
TUMHEE SE BHARE HAIN
HAM
KAHAAN LIKHEIN ?

HAR JAGAH
TUMHEE
GHERE
KHADE HO

HAM
KAHAAN DIKHEIN ?

PRDON MEIN
PAUDHON MEIN
LATAAON MEIN
LITHDE HO
SIRF
TUMHEE

HAM
KAHAAN FALEIN ?

HAR ROSHNEE
TUMHAARE
HEE
NAAM SE VIGYAAPIT HAI

HAM
KAHAAN BALEIN ?

HAR
PAALNE MEIN
GOONJTEE HAIN
TUMHAAREE HEE
KILKAARIYAAN

HAM
KAHAAN PALEIN ?

SADKON

PAGDANDIYON PAR
KAHEEN
TERE HAATH HAIN
KAHEEN TERE PAANVA

HAM
KAHAAN CHLEIN ?

DAALEE-DAALEE
TUMHAARE
NAAM SE HEE
SURAKSHIT HAI

HAM
KAHAAN KHILEIN ?

NADIYON
KACHHARON
BIYAAVAANON
PAHAADON
MEIN

AB

TUMHEE TUM HO

HAM
KAHAAN MILEIN ?

1
Hosted by www.Geocities.ws