| Page3 |
![]() |
| Pages of this section: |
| My Info: |
| SYED BILAL ARMAAN |
| Name: |
| Email: |
| Ghazal Waise to dilfareb hawaa thee jo chal gayee Lekin chiragh kitne bujha kar nikal gayee Saya bhi aarzee hai bataa deejiye unheN Jo log mutma'in haiN keh ab dhoop Dhal gayee Maqtal bhi wajh-e-qatl bhi Khanjar bhi tha wohee Har baar shakl-e-qaatil.o bismil badal gayee Yeh aur baat zor-e-tapish meN kamee nahiN Waise to kafee der hoii shaam Dhal gayee Darta hooN main yeh raat kahiN aaKhree nah ho BesaKhta mareez ki haalat saNbhal gayee Mujhe ummid hai ke ye ghazal bhi app ko pasand ayi hogi...Read next ghazal. Click Page4. -SYED BILAL ARMAAN |