Just for fun
Lijye ab app images ke dosre page par hai.                                         (-BILAL)
f
ghum ka nashter chabho giya ho ga
dil meiN kaaNta sa bo giya ho ga

ab kahiN bhi nehi qaraar usay
teree mehfil se ho giya ho ga

kon dhoNday usay, kahan dhoNday
tujh ko paa ker jo kho giya ho ga


mouj e daryaa to yaar thi us ki
khud hi kashti dabo giya ho ga


chaaNdni bhi udaas lagti hai
koi is ka bhi kho giya ho ga !!

maiN samuNder ko dekh ,sochta hoN
koi aisaa bhi ro giya ho ga

raaz phooloN pe yeh nami kaisee
koi raatoN ko ro giya ho ga.
f
palko'n pai chiragho'n ko sambhaley huye rakhna is hijr kai mousan ki hawa taiz bohat hai
f
sheher hota to naya------ roz tamasha hota
aagaya raas hamein dill ka bayaba'n karna


f
tujh say jis tar'ha main izhaar-e-tamanna kerta
lafz soojha tou maani nay------ baghawat ker di
Kaisi lagi images...pasand ayi hongi. back ja kar P3 par click kijye aur next page dekhiye.
                                                                                         
-SYED BILAL ARMAAN
Hosted by www.Geocities.ws

1