*Kaan Mein Jhumka*

Movie Name: Sawan Bhadon
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Sonik Omi
Lyricist(s): Varma Malik

Aaye haay, (kaan mein jhumka, chaal mein thhumka, kamar pe choti latke
Ho gaya dil ka, purja-purja, lage pachaasi jhatke, 
Ho tera rang hai nasheela, ang-ang hai nasheela 

Nashe se palkein tanin-tanin, jaan pe meri bani-bani
Chadhhti jawaani teri, kaise sambhaale tu
Husna tera matwaala hai, ari kiske liye sambhaala hai
Banun rakhwaala, kar de, mere hawaale tu
Teri ye jawaani, albeli, ye paheli, hai akeli 
Mujhe saathi bana le, haan
In zulfon mein uljha-uljha ke, kaI musaaphir bhatke
Ho gaya dil ka, purja-purja, lage pachaasi jhatke, 
Ho tera rang hai nasheela, ang-ang hai nasheela

Teri maang mein, jo main sindoor bhar dun
To har raat ko chaandni raat kar dun
Tujhe kheench kar apne dil se laga lun
Zameen par tujhe main khuda se mila dun
Aisi karunga main diwaani, mastaani, oh jaani 
Zara nazrein mila le, samjhi
Armaanon ke, khule dareeche, aaja zara simatke
Ho gaya dil ka, purja-purja, lage pachaasi jhatke, 
Ho tera rang hai nasheela, ang-ang hai nasheela

Bola kahun main khare-khare, jaati hai kyun pare-pare
Meri zindagi mein aaja, pyaar ko basa dun main
Paas agar tu aajaaye, saans-saans takra jaaye
Dil kyun dhadhakta hai, tujhko dikha dun main
Teer pe teer, chala ke, muska ke, sharma ke, mujhe paas bula le
Wahin pe mele, lag jaayein tu dekhe jahaan palat ke
Ho gaya dil ka, purja-purja, lage pachaasi jhatke, 
Ho tera rang hai nasheela, ang-ang hai nasheela
Kaan mein jhumka, chaal mein thhumka…

Back to Lyrics

Back to Main

Hosted by www.Geocities.ws

1