|
Unke liye
• Tum kaatil tumhara chehra kaatil Chehre ka ye kala til bhi katil bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina ki kahin mar na de katil ko katil
• Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki
• Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh, Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein, Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.
• Tarasti nazaron ki pyas ho tum, tadapte dil kil aas ho tum, bujti jindagi ki sas ho tum, phir kaise na kahu? kuchh "KHAAS" ho tum....!
• Aankhe to pyar me dil ki zuban hoti hai, Sacchi chahat to bejuban hoti hai, pyar main dard bhi mile to kya ghabrana, sacche dard se hi to chhahat jawan hoti hai.
• Bhulaya nahi jata wo waqt suhana, bar bar apka woh mere ghar ana jana, kaise bhul jau wo apka nazare milana, bhari dopahar me aakar mujhse lipat jana.
• Tum bhulakar to dekho ek baar, zindagi ki har khushi tumse rooth jaayegi. Sochoge jab bhi apne baare mein, khud-ba-khud meri yaad aa jaayegi.
|
|
|
Tanhayee
• Hamdardi kar sakte hain woh, Khud ka dard jinka ho kam, Bedard na samjhna hamko tum, Apne bhi hai yaroon laakhon gam.
• Bedard hame samajhte hai wo par bedard hum hain nahi Humse apna hal-e-dil wo aakar kabhi kahen to sahi.
• Sunane gaye the unhe haal-e-dil, Dard unka sunkar ro aaye magar.
• Tapat Sooraj mein hoti hain Tadapna sabko padta hain kasoor aankhon ka hota hai Tadapna dil ko padta hai
• Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai
• Wafa ka naam na lo yaron, Wafa dil ko dukahati hai. Wafa ka naam lete hi, hume ek bewafa ki yaad Aati hai
• Log kahte hain ki hame aadat hain muskurane ki, Vo kya jane, Ye bhi ek ada hain gam chhupane ki
|
|
|
Shayari-e-mehfil
• Kaate nahi katte hain lamhe intezaar ke, Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke, Dil ne kaha dekhe jo jalwe husn yaar ke, Laaya hai kaun unhe palak se utar ke
• Agar hum na hote to ghazal kaun kehta? Aap ke chehre ko kamal kaun kehta? Yeh to karishma hai mohobbat ka, Warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta!
• Zindagi mein kabhi to mujhe yaad karoge, mehfil mein nahi to tanhai me faryad karoge, Hamsa na mila na milenga koi, aur tab apni kismat mein naaz karoge.
• Kaun rakhta hai yaad naamo ko, logh insaan ko bhool jaya karte hai. tum samandur ke baat karti ho, logh aankho mein doob jaya karte hai.
|
|
|
Nacheez ki kalam se
• Aisi talaash pe nikal chala hoon main Na shuruat ka, na ant ka pata Aisa khoya hoon main isme yaaron Na subeh ka, na shaam ka pata
• Unki tamanna hai ki hum kuch sunaye Tto ji suniyega ka zara Hum shayaron ki shayad yahi tto khaas baat hai Hum dil jeet lete hain iss tarah
• Kissi apne ka gam sahen nahi kar paata hoon main Shayad khud ko apna nahi maanta hoon
|
|