Song Title: mere jiivan saathii, pyaar kiye jaa Movie Name: Ek Dujhe Ke Liye Actor(s)/Actress(es): Kamal Hasan, Rati Agnihotri Singer(s): Lata Mangeshkar, S. P. Balasubramaniam Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal Lyricist(s): Anand Bakhshi Rati: Yeh kya, lift beech mein kyon rookh di? % Kamal: Tumara saath zyadha, zyadha, bahuth zyadha dher rahne ke liye. % Rati: O My God! Mere toh Hindi kavita ki class hain!! % Kamal: Hindi kavita hain na? % Rati: Han? % Kanal: Woh mein tumko teach karta hoon. % Rati: Tum aur Hindu kavita! (giggles) % Kamal: Tum samajhte ho, main Hindi kavita nahin janta? hm.. % Mere jevan saathi pyar kiya ja % jawani deewani , koobhsurat, ziddhi padosan % satyan shivam sundaram , benhers benhers % Woh to English hain! % % % % sa: mere jiivan saathii, pyaar kiye jaa la: vaah! vaah! sa: haa.N haa.N ! mere jiivan saathii, pyaar kiye jaa javaanii diivaanii la: o o! sa: khuubasurat, ziddii pa.Dosan satyam shivam su.ndaram, satyam shivam su.ndaram satyam shivam su.ndaram la: jhuuThaa kahii.n kaa! sa: jhuuTha kahii.n kaa? haa.N, hare raamaa hare kR^ishhnaa la: dhat! chaar sau biis, aavaaraa! sa: dil hii to hai la: hai! sa: aashiq huu.N bahaaro.n kaa, tere mere sapane, tere ghar ke samane, aamane saamane, shaadii ke baad! la: shaadii ke baad? o baap re! sa: haa.n haa.n haa.n, haa.n! hamaare tumhaare! la: kyaa? sa: munnaa, guDDii, Ti.nkuu, milii, shin shinaatii babuulaa buu, khel khel me.n shor! shor, shor ... la: bhuul gaye? sa: jaa.cnii meraa naam la: achchhaa? sa: chorii meraa kaam, jaa.cnii meraa naam, o, chorii meraa kaam la: o! sa: raam aur shyaam la: dhat, ba.nDalabaas! sa: la.Dakii, milan, giit gaataa chal, pyaar kaa mausam la: besharam! sa: aahaa haahaahaahaa! pyaar kaa mausam la: besharam ... sa: satyam shivam su.ndaram, satyam shivam su.ndaram satyam shivam su.ndaram mere jiivan saathii, pyaar kiye jaa la: jaa jaa! sa: javaanii diivaanii khuubasurat, ziddii pa.Dosan, satyam shivam su.ndaram ishq ishq ishq! la: ## Naughty boy. ## sa: haa haa! ishq ishq ishq la: ## Bluff master. ## sa: ye raaste hai.n pyaar ke, chalate chalate, mere hamasafar la: aah! sa: hamasafar, dil teraa diivaanaa, diivaanaa mastaanaa, chhaliyaa, a.njaanaa la: ## (giggles) ## pagalaa kahii.n kaa! sa: chhaliyaa, a.njaanaa, aashiq begaanaa, lofar, anaa.Dii ba.Dhatii kaa naam daa.Dhi, chalati kaa naam gaa.Dii - (2) jab pyaar kisii se hotaa hai, ye sanam la: o ho! sa: jab yaad kisii kii aatii hai, janeman la: sach? sa: ba.ndan, ka.ngan, cha.ndan, jhuulaa, cha.ndan, ka.ngan, ba.ndan, jhuulaa, ba.ndan jhuulaa, ka.ngan jhuulaa, cha.ndan jhuulaa, jhuulaa jhuulaa jhuulaa jhuulaa dil diyaa dard liyaa, jhanak jhanak paayal baaje, chham chhamaa chham giit gaayaa pattharo.n ne, saragam, satyam shivam su.ndaram satyam shivam su.ndaram, satyam shivam su.ndaram sa: mere jiivan saathii, pyaar kiye jaa la: chal chal! sa: javaanii divaanii, khuubasurat, ziddii, pa.Dosan satyam shivam su.ndaram, satyam shivam su.ndaram ## Sing with me come on! ## la, sa: laa laa laa laa laa laa sa: ## come on! good! ## la, pa: laa laa laa laa laa laa -------------------------------------------------------- Song Title: pyaar terii pahalii nazar ko salaam Movie Name: Ek Dujhe Ke Liye Actor(s)/Actress(es): Kamal Hasan, Rati Agnihotri Singer(s): Lata Mangeshkar Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal Lyricist(s): Anand Bakhshi Contributor: Himanshu Gupta (himanshu@eng.sun.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Jul 9 16:55:49 EDT 1995 % Credits: Samiuddin Mohammed (sm0e@lehigh.edu), % Kuntal Shah (kuntal@damayanti.india.ti.com) % Editor: % Comments: It was felt earlier that the prelude was in Chanchal's voice % but it has been confirmed now as sung by Anup Jalota % -- Rajiv % % koshish kar ke dekh le, dariyaa saare nadiyaa saarii.n dil kii lagii nahii.n bujhatii, bujhatii hai har chi.ngaarii solah baras kii baalii umar ko salaam pyaar terii pahalii nazar ko salaam -2 duniyaa me.n sab se pahale jisane ye dil diyaa duniyaa ke sab se pahale dilabar ko salaam dil se nikalane vaale raste kaa shukriyaa dil tak pahu.Nchane vaalii Dagar ko salaam pyaar terii pahalii nazar ko salaam... jisame.n javaan hokar, badanaam ham hue us shahar, us galii, us ghar ko salaam jisane hame.n milaayaa, jisane hame.n judaa kiyaa us vakt, us gha.Dii, us pahar ko salaam pyaar terii pahalii nazar ko salaam... milate rahe.n yahaa.N ham, ye hai yahaa.N likhaa us likhaavaT kii zer-o-zabar ko salaam saahil ke ret pe jo laharaa uThaa ye dil saagar me.n uThane vaalii har lahar ko salaam yuu.N mast gaharii-gaharii aa.Nkho.n kii jhiil me.n jisane hame.n Duboyaa, us bha.nvar ko salaam ghuu.NghaT ko chho.D ke jo, sar se sarak ga_ii aisii nigo.Dii baalii chunar ko salaam ulfat ke dushmano.n ne, koshish hazaar kii phir bhii nahii.n jhukii jo, us nazar ko salaam pyaar terii pahalii nazar ko salaam... % --------------------------------------------------------- Song Title: tere mere biich me.n kaisaa hai ye ba.ndhan a.njaanaa Movie Name: Ek Dujhe Ke Liye Actor(s)/Actress(es): Kamal Hasan, Rati Agnihotri Singer(s): Lata Mangeshkar, S. P. Balasubramaniam Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal Lyricist(s): Anand Bakhshi lataa: o, tere mere biich me.n -2 kaisaa hai yah ba.ndhan a.njaanaa -3 mai.nne nahii.n jaanaa, tuune nahii.n jaanaa -2 tere mere biich me.n ... ek Dor khii.nche duujaa dau.Daa chalaa aae -2 kachche dhaage me.n ba.ndhaa chalaa aae aise jaise koii ... aise jaise koii, diivaanaa -2 mai.nne nahii.n jaanaa, tuune nahii.n jaanaa tere mere biich me.n ... es pii: ho ho aapa.Diyaa lataa: haa haa jaise sab samajh gayaa pahanuu.Ngii mai.n tere haatho.n se ka.nganaa -2 jaaegii merii Dolii tere hii a.nganaa chaahe kuchh kar le ... chaahe kuchh kar le, zamaanaa -2 mai.nne nahii.n jaanaa, tuune nahii.n jaanaa tere mere biich me.n ... es pii: nii rombaa a.Dagaa irukke lataa: rambaa? ye rambaa-mambaa kyaa hai? itanii zubaane.n bole.n log hamajolii -2 duniyaa me.n pyaar kii ek hai bolii bole jo shamaa ... bole jo shamaa, parvaanaa -2 mai.nne nahii.n jaanaa, tuune nahii.n jaanaa es pii: paravaa illaye nallaa paadaraa lataa: kyaa? kaisaa hai yah ba.ndhan a.njaanaa mai.nne nahii.n jaanaa, tuune nahii.n jaanaa tere mere biich me.n ... %