Questions/comments/concerns? Contact Rahul by email
Bush started the campagin for 2004 election early in the year. Few lines on his last 4 years and the days to come with a plea to potential voters..

Rahul Upadhyaya
paagal kaa upachaar

idhar aayaa do hazaar chaar
udhar BUSH kamar kas ke taiyaar
jor shor se ho rahaa prachaar
maukaa de do phir ek baar

beimaanii kii thii pahalii baar
chhiin ke matadaataa kaa adhikaar
jiit me.n badal dii apanii haar
dekhe kyaa hogaa abakii baar

jaise hii banii isakii sarakaar
mand huaa SHARE bazaar
laakho.n log hue bekaar
Thapp huaa saaraa vyaapaar

NEW YORK par jab huaa vaar
jhaT se band kiye desh dwaar
binaa kisii soch vichaar
haath me.n le liye hathiyaar

BUSH ne uThaa ke talawaar
diyaa duniyaa ko lalakaar
tumane maare do hazaar
ham miTaa de.nge kasbe hazaar

Dhoo.nDhane chalaa vo hathiyaar
jo khud ke ghar me.n hai bharamaar
isii dhun me.n diye hazaaro.n maar
kuchh idhar mare kuchh siimaa paar

kaise kare.ngii ye sarakaar
kisii gariib kaa uddhaar
jo bam baarood me.n baar baar
dhan uDaaye beshumaar

mook khaD_aa hai sansaar
kar rahaa hai isako swiikaar
aao milakar kare karaar
isakii na ban sake sarakaar

baat merii maano yaar
mat ise denaa mat is baar
haar hii do isako upahaar
is paagal kaa yahii upachaar

January 12, 2004





Hosted by www.Geocities.ws

1