Welcome To Kashif Pirwani's Homepage


 MY PERSONAL VERSES

Main yah nahi khta
k kohi dil main na samahi
Main yah nahi khta
k kohi arzoo na ban pahay
par itna zaroor khna hai
agar samaj sakoo
k dil main kabhi kisi ko
itni na jagha dau
k dil k leeya darahkna hi
mushkil hau jahi
.

Her roze nahai loog
miltain hain yaahan per
Her roze nahai rishtay
bantain hain yaahan per
Apnoo kau dohndta hoon
ghairoon kay shaher main
Apna joo samjay aisay
nahi loog yahan per.

Afsose hai mujah yahi
afsose rahi ga
Dunya main jo main aaya
mara doosh rahi ga
Mari zindafi say khoosh
maray apnay hi nahi
Mari haya pay bus yahi
ik boojh rahi ga.

Ashk ankhoon main chupahai kyoon
bahnay datay
Hum joo khnay aahai thay hum koo
khnay datay
Ik mudat say arzoo thi
tumhay panay key
Naa thi yaa aap kay dil main tau
rahnay datay.

Kya naam Doon main uss ba-wafa kau
Badnam kardiya jiss nay wafa kau.

Yaa waqat bara kathin hai
najaany kaysay guzray gaa
Is mushkil ghari ka her lamha
aab jaanay kaysay guzray gaa
Hum waqt ka aab her lamha
yahi soach kay bitatain hain
kay aanay wala kal tau hamara
aay yaar acha guzray gaa.

Kis kis say mohabat ka
izhar karoo gay
Kis kis say uay dhooka
bar bar karo gay
Tum nay wafa bus naam key
baki tau rakhi hoti
Kis kis say jafa tum
aab key bar karoo gay.

Ankhoon say ashk bahtay thay 
jab hum ko gum mila 
her pal yahi kahtay tha
 yah mujh kau he kyoon mila 
daykha jau haal auroon ka 
phir sochnay laga 
mujh kau yah gum mila bhi tau 
kitna kum mila. 

Hum Sochtay rahay
aur wau kam kar gahay
Zindagi ko who mari
nakam kar gahay
Shikwaa karain bhi tau kya
aab kisee say hum
Weeraan mari zindagi key
wau her sham kar gahay.

Narazgi say mari parta hai farq kis ko
apna tau kahtay hain sabhi
phir poochtay hain kis ko.

Parday kay pechay jakay
koi chuup gahya hoo jasay
Parda hata kay daykha
Iq aina laga tha.

Tum dour hoo ankhoo say

par dil kay pass ho
Tum nahi tum jaysa
kohi tau khas ho
uay rab say dua kartay hain
hum bhi kabhi kabhi
Tum yaad rahoo hum ko
jab tak uay sanse ho.

Pahchan leyaa hai tum ko
par lagta hai dar yahi
Ik doost mila hai usko bhi
main khoo na doon kanheen.

 


 

I would appreciate any kind of contribution, so if you know any shair, whether it is in urdu, hindi, funny, or romantic, please email me on [email protected]

Thanks.....Shukriya.....Adab!!!

 

Please Me…


< Back

Hosted by www.Geocities.ws

Hosted by www.Geocities.ws

1