|
Also in Roman ![]() from line 28 Jabhi to chahti hoon main Muje Tum Khud Ejazat do Tumhara naam main rakhon Anokha sa bohat piyara Koi awara sa jhonka Koi khamoosh sa badal Koi be naam si barish Ya shayad chand ka hala Chamakta sa koi tara Ya satoon rang dunya k Koi behta huwa jharna Matakti moj ka saya Sammandar main gira moti Ya sahil pe gira katra Ya behka sa parinda ho Tumhara naam aisa ho Ye dunya sari heran ho Jabhi to chahti hoon main Mujhe tum khud ijazat do |