Funny Shayiree

Nain se Nain Mila
Nain se nain mila le Jani
Nain se nain mila le Jani
Teri Bayni Aankh Kani , Meri Dayni Aankh Kani.


Jee Chahata Hai..
Jee chahata hei kee tere Nazuk Honthon ko Choom lu
Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu
Magar teri bahti hui Naak ne iraada badal diya....


Itnay dino se jalanay nahi aya 
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya 
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay 
Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi 
aya. 


Hathi nay kaha hathni ki kabar per ja kar 
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per 


Tum bhi besahara,hum bhi besahara 
 Fittay mu tumhara,fittay mu hamara 


Hum nay usay dekha angle badal badal kar 
Us nay hamay mara sandle badal badal kar 


Dil kay armaa aanso’oo may bah gaye 
Un kay bachay hamay mamu kah gaye 


Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar 
Tum kha gaye is ko ice-cream samajh kar 


Dabbay may dabba dabbay may khargosh 
Nana nay aankh mari nani behosh 

 

Ishq kay samander main ghota lagaya 
Pani both thanda tha main bahar nikal aya 


Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha 
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha 


Wo ankh bari pyaari thi jo hum nay usay mari thi 
Wo sandle bari bhari thi jo us nay hamay mari thi 


Mera dil para hai loose 
Is ko matt karo tum use 
Warna parain gay tum ko shoes 

 

kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote
chand to tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote !!!



Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai
Laila ghar mein aur majnoo jail mein hote hai

 

Tu mere dil mein aise samaayi hai
Jaise baajray ke khet mein bhains ghus aayi hai


Ghalib ne likha deewar par lal rang se
Yahan kuch bhi likhna mana hai


Jab tota (parrot) hua dirty, Tote se boli maina
Don't you worry, Surf Excel hai na


Majnu Laila ke baal pakad ke bola
Moya kitne din se sar nahin dhoya


Hum aapke dil mein rahate hai
Aur Karaya (rent) bhi nahin dete hai


Zor ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder?


Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat ko maine itna kyon khaaya

 

 Hamne tumhare pyar mein lakhon luta diye,
 Hamne tumhare pyar mein lakhon luta diye,
 Aur tum itne bedard nikle
 ki atthani ki rakhi pehna ke chal diye..

 


Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

 


Woh chhum chhum karke aayee,
woh chhum chhum karke chalee gayee.
main haar leke khada raha
woh raakhi baandhke challe gayee

 


wo aaye humari mazaar pe diya bhuja ke chaldiye
baaki bacha tel sar pe laga ke chal diye

 


jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud khushi(suicide) kar le jalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi

 


Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga

 


Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow

 


Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hog 

 


Chandni raat thi, main so rahi thi 
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya


Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
Kitne khush-naseeb hain vo choohe
Jin hon ne kutre tere baaal

 


Rafta Rafta dekho aankh meri lari hai
Aaankh jis se lari hai woh meri maa se bhi bari hai

 


Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon

 


Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel
So my darling ... What's The Big-Deal ?? 

 


Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye

 


Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya

 


Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge

 


Paida hua Wakeel (advocate) to Shaitaan nay kaha
Lo aaj main bhee Sahab-e-Aulad ho gaya.

 


Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
Muqaddar dekhiye roye wahiin par
Hue masjid se Gum juute hamaare,
JahaaN se paaye the, khoye wahiin par

 


Khud ko kar buland itnaa
Kay Himaalay ki choti pe jaa pahunche
Aur khuda tumse puche
Abe gadhe, ab utrega kaise

 


Teri zulf kya hai raat ka saaya hai 
Sar mudaa deeya to sawera ho jayega

 


Tere ishq main janam kya se kya haal ho gaya 
Badan se badboo aa rahee hai, nahay jamana ho gaya

 


Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai.

 


Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain

 


Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi joshh ke sath !
Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi shhor ke sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

 


Aur bhi bahut si cheezain lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya doostoon ne ishq furmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"


Hosted by www.Geocities.ws

1