Samundar ka Khara Pani

Chupa nahin sakta, Jazbaton ko tehzeeb ka pehra.
Doob gayeen kitni dastane, ye zahkm hai kitna gehra.
Koi tute khwab ki sada ho ,Ya bichde pyar ki nishani.
Kuch to bayain kar raha hai,
Apki ankhon se chalakta, Ye Samundar ka khara pani.

Ashk ankhon ka khilona nahin, kisi dard ka bichona nahin.
Ye band pinjre ka parinda nahin,Ye to badal hai ek aasmani.
Kis rah pe baras raha hai,
Apki ankhon se chalakta, Ye Samundar ka khara pani.

Mera koi hissa mujhe se le gaya,
Har humrah ek zahkm naya de gaya.
Feeke pad gaye,Zehan ke nishan,
Ab yaad nahin,
Chot nayee hai ya purani.
Shayad koi malham ho,
Apki ankhon se chalakta, Ye Samundar ka khara pani.

Idher koi gam hai , udhar koi gam,
Kehna dono ko hai , kehte nahin hum.
Kya teri, kya meri
Ishq ki ek hai kahani
Mujhse kya keh raha hai
Apki ankhon se chalakta, Ye Samundar ka khara pani.

Miyan,
Hamaein kya samjhate ho !
Apne dil ki suno,
kar no paaoge baat bemani
Sachi hi keh raha hai
Apki ankhon se chalakta, Ye Samundar ka khara pani.

Veerendra

Copyright 2003 Aashiyana Send mail to [email protected] with questions or comments about this web site.
Hosted by www.Geocities.ws

1