Funny Shayeri
Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen Ladki: Aisa sochna bhi
aye zalim paap hoga Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga
Kutta ban gaya hoon tere pyaar main yakeen nahin aata to
suno...Bhow..bhow
Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab
Hoga
Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai Kuch is tarah se
Haseenon ka pyaar dekha hai Unhe khilane pilaane main hui hai yeh
haalat Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai
Apple kat ta hoon knife se, Paani peeta hoon pipe se, Kya zamana
aaa gaya, Joote khata hoon wife se
Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali Ab to peeecha chor
de, main ho gaye bachchon waali
Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon Aaati hai to aaa
ja, ya kisi aur ko pataooon
Chandni raat thi, main so rahi thi Phir kisi ne darwaza
khutkhataya Maine soncha mera dil aaya Darwaza khol ker dekha to
bijli ka bill aaaya
Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna Lar Jaoonga Tere Baap
Se Batcha Na Samajhna Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya
Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi Par Apne Deen Se Nata To Jor
Sakta Hoon Nemaz Roza Kuch Na Sahi Shab-E-Barat Patakhe To Chor
Sakta Hoon
Dil Logi, Ke Jaan Logi Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi
Industrian sari mere yaar kha gaye Meri Sari jaydaaad rishtedar
kha gaye Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating banaye
mazar to minaar kha gaye
Use karte hein make-up ka daba roze kiyun? Ban sanwar kar nikalte
hain chailaa roze kiyun? Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee
gaye Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?
Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal, Kitne khush-naseeb
hain vo choohe Jin hon ne kutre tere baaal
Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar Sabzi meri uraa le
gaya
Kuch Kuch Hota Hai, Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye, Ab to mera sir, jaage
na sota hai, Kya karoon haye, kuch kuch hota hai
Sheeshi bhari gulab ki, phatthar se phor doon Pant wali mil jaye
to ghanghre wali ko chor doon
Rafta Rafta dekho aankh meri lari hai Aaankh jis se lari hai woh
meri maa se bhi bari hai
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon
Sheeshi bhari gulab ki, sheesha chatak gaya, Buddhi ne aankh
maari, buddha latak gaya
Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi Mohabaat ek se
hoti hai, hazaron se nahi Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron
ka kya hoga Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hog
Maine tujhe pyar kiya, saraswati samajh kar Tere baap ne mujhe
pita, agarbattti samajh kar
Maine tujhe dekha, handle badal badal kar Tere baap ne mujhe
peeta, sandle badal badal kar
Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel So my darling ...
What's The Big-Deal ??
Dil Logi Ke Jaan Logi Meri Jaan Set Hone Main Kitna Time Logi
Patharr kyun marte ho, pura pahaar maar do Hum yuheeen mar
jayenge, sirf ek baar aankh maar do
Meri jaib main hai kath, meri rifle bhari hui hai Mujhe khauf kya
police ka, mera baap mantri hai
Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya Ye Saala, Idhar hawa
kyon nahin ayaa
Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka Jo dekha to dil phisal
gaya
Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya Rakha Hai Ishq Karna
Hai To Bahar aa, Ishare main Kya Rakha Hai
Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya Magar tum itne
bewafa nikle, ke usi tub mein naha ke chal diye
Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain Jo bhii kaho ge merii
dukaan per wo paoge maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
Aaj phir aaye hitchkiyaan Dil-E-Nasaad mujhe Shayad us sokh ne
bhul e se yaad kiya mujhe Aaakhain taras gaye tumhara khyal aa
gaya Ab to chehra dikha do,
naya saal aaa gaya Gul Gaye Gulshan Gaye, Gul Ke Patte Rah Gaye
Sare Shayair Mar Gaye, Tum Ullu Ke Pathe Rah Gaye
Paida hua Wakeel (advocate) to Shaitaan nay kaha Lo aaj main bhee
Sahab-e-Aulad ho gaya.
Mard taange waala Hoon main mard taaange wala Mujhe teacher kya
marega Main to hoon principal ka saaala
ghar main diya jale To diwali mat samjho Agar main tera peeche
paroon To mawali mat samjho
holi hundi jaan bhari hundi
kachi hundi jaan chaaari hundi
naar de nakhre sare mukk jaande
je kudiyaan de daari hundi(By: Vishal Jain)