FAZAEL MOULA ALI(S.A)
ELAM BEHTAR YAH KEE MAAL????
Ek baar kisee nay Moula Ali(S.A) say darkhasth kee kay hum 10 admi hay awal sawaal ek hee hay ,magar jawab judaganaa chatay hain.
Moula Ali(S.A) nay farmayaa haa kahoo
sab nay yai sawaal paish keeya kay Elam behtar hay yaa kee maal???
Aap nay ess tarah jawab deena shuruu keeyaa.
(1) ELAM: Elam ess leyai maal ke hefazath karnee padtee hay magar Elam tere hefazath kartaa hay.
(2)ELAM:maal esleyai firhoon kaa tarkaa hay aur elam anbiyaa kee miraas hay
(3)ELAM:Elam esleyai maal kharaj karnay say kum hotaa hay aur elam khrajkarnay say taraqhee kartaa hay
(4)ELAM:Elam ess leyai maal dair tak rakhlenay say farshudaa hoh jataa hay.magar Elam koh kuch nuksaan nahi pohanctaa.
(5)ELAM:Elam esleyai kay maal koh har vaqht choori kaa kahtraa rahtaa hay aur elam koo nahi.
(6)ELAM:Elam esleyai sahib-e-maal kabhi baqeel bhe khaylataa hay magar sahib -e-elam kaleem hee khaylataa hay.
(7)ELAM:Elam esleyai kay elam saay dil koh roushni meltee hay aur maal say dil tareek hoh jataa hay
(8)ELAM:Elam esleyai kay kasratay maal saay firhoon nay khudayee kaa dawa keya.magar kasrath-e-elam say shukaar paidaa hotaa hay.
(9)ELAM:Elam esleyai kay maal say baishumaar dushmaan paida hotay hain magar elam say har dil azizi haseel hotee hay.
(10)ELAM:Elam esleyai kay youm-e-kaiyamaat koh maal kaa hisaab hogaa magar elam par koee hisab naa hogaa.
                                                      Amat-e-Syedna(T.U.S)
                                                     Tasneem Rasheed.
                                                                           
Hosted by www.Geocities.ws

1