Mari jaane ka programme to khair ban chuka tha. Magar sawaal yeh the ki garmiyaan hoti to season guzaarne ke liye wahan thehra bhi jaa sakta tha, magar barf girti dekhne ke liye to ek din yaa adhik se adhik hafta hi raha jaa sakta hai. Isliye Shibbu miyaan ke katraane ke liye yeh koi sthaayi upaay na tha. Hum log abhi is baat par vichaar kar rahe the ki Shibbu miyaan tak bhi khabar jaa pahunchi aur in mahaashay ne waakai wahi harkatein shuroo kar di, jinki bhavishyawaani R.ana kar chuki thi. Sabse pehle to khud R.ana se unhonein is programme ke baare mein pushti chaahi aur jab pushti ho gayi, to unhonein kadhi aapatti ki ki main ise kisi tarah bhi uchit nahin samajhta ki tum ek ajnabee arthart sirf padosi ke saath akeli yeh sab karo. Magar R.ana aise awsaron par sadaa Shibbu miyaan ko yaad dila deti hai ki uska sthaan kya hai, taaki weh kisi galatfehmi ka shikaar na ho. Atyeinw is awsar par bhi R.ana kaafi khabar li, balki yahan tak keh diya ki aage ke liye uski baaton mein dakhal dene ki koshish na karein. R.ana se yeh khari khari sunkar un hazrat ne beghum sahiba ki adaalat mein appeal ki aur jab wahan bhi muhn ki khaai to theek us samay jabki Khan bahadur saahab humein aur R.ana ko mari jaane ke silsile mein zaroori mashware dekar R.ana ke kamre se apne kamre mein pahunche to is akal ke dushman ne khuda jaane kya kaha ki ekdum Khan bahadur ke cheekhne ki aawaaz R.ana ke kamre mein aayi aur hum aur R.ana dono darwaaze mein khade ho gaye, jahan se Khan bahadur saahab aur Shibbu miyaan ki baatcheet saaf sunaayi de rahi thi. Khan bahdur saahab unchi aawaaz mein keh rahe the-" Yeh behooda khyaal tumhaare zahen mein aaya hi kaise? Aur agar tumhaare zahen mein sirf behooda khyaal hi aa sakte hain to tumne ki yeh jurrat kaise ki mere saamne bhi use keh diya?"


Shibbu miyaan ne bhinbhinaate hue kaha-" Maine isliye arz kiya hai ki zamaana bahoot bura hai."


Khan bahadur saahab ne phir daanta-" Zamaana bura hai bure logon ke liye. Tumne R.ana yaa Farhat ko aakhir kya samajh rakha hai? Mujhe maaloom nahin tha ki tum bewakoof hone ke alaawa is kadar gande khyaalaat bhi rakhte ho."


Shibbu miyaan thehre chikne ghade, bhalaa weh chupke kaise ho sakte the. Kehne lage-" R.ana ya Farhat saahab chaahe kitne hi nek aur shareef kyon na ho, magar duniya ki zabaan kaun rok sakta hai."


Khan bahadur saahab ko aur krodh aa gaya-" saahab jahannum mein jaaye duniya, maine duniya ki parwaah kabhi nahin ki. Mujhe R.ana aur R.ana se zyaada Farhat par bharosa hai. Bas mere liye itna hi kaafi hai."


Shibbu miyaan ne niraasha ke swar mein kaha-" Jaisi aap ki marzi, magar main to sirf yeh chaahta tha ki agar main bhi saath chala jaata to..........?"


Khan bahadur saahab ne kaha-" Yeh bilkul doosri baat hai. Agar tum jaana hi chaahte ho to mujhe ismein aitraaz nahin hai, magar sirf itni si baat ke liye tumhein aise behooda khyaalaat mein ulajhne ki zaroorat nahin thi."


Shibbu miyaan ki shaayad shaamat hi aayi hui thi. kehne lage-" Main to sirf yeh chaahta tha-"
Laazim hai dil ke saath rahe paabaane akal."


Khan bahadur saahab aagbagoola ho gaye-" Phir tumne mere saamne fizool misra padha. Na yahan koi dil hai aur agar farz kar lo dil ho bhi to yeh aapse kis ehmak ne keh diya hai ki aap akal ke rakhwaale ho sakte hain? Tumhaare khyaal mein shaayad akal ka rakhwaala us moorkh ko kehte hai jo akal ke peechhe laadi liye ghumta rahe. Bewakoof kahin ke, baat kaan kholkar sun lo ki Farhat itna suljha hua ladka hai ki tum aur tumhaare jaise dhaamadh use samajh hi nahin sakte hain."


Ab Shibbu miyaan niruttar ho gaye aur is baat ka uttar dene ke bajaaye kehne lage-" To phir kya raay hai aapki, main bhi saath chalaa jaaon?"


Khan bahadur saahab ne chidhkar kaha-" Yeh faisla main nahin kar sakta. Iska talluk R.ana aur Farhat se hai. Agar weh yeh ganwaara kar sakein ki unki sair tafreeh mein ek ehmak bhi unke saath ho to mujhe ismein koi aitraaz na hoga. Lekin agar weh aapko na le jaana chaahein to mein unhein theek samjhoonga . Aap iska faisla unhi se kar lein."


Shibbu miyaan "behtar hai" Kehkar wahan se rawaana hue aur chunki khyaal tha ki ab yeh aafat idhar aayegi isliye hum dono sambhalkar baidh gaye. Humaara yeh khyaal theek hi nikla. Isliye ki isi waqt Shibbu miyaan ne R.ana ke kamre ki chik uthakar kaha-" Main aa sakta hoon na?"


R.ana me turant uttar diya-" Jab aap aa hi gaye hain, to khaahamkhaah ijaazat talab kar rahe hain. Tashreef laayiye."


Shibbu miyaan ne ek kursi par baidhte hue kaha-" to goya subaah rawaangi hai aap dono ki?"


R.ana ne upeksha bhaaw se kaha-" Jee haan, iraada to yahi hai."


Shibbu miyaan ne farmaaya-" Lutf to kaafi rahega, kya khyaal hai, chaloon mein bhi?"


Humne R.ana ko bolne ka mauka na diya-" Phir to kya kehna hai. Magar aap bhalaa kyon jaane lage......?"


Humne dekha ki R.ana ka chehra krodh ke maare laal ho gaya hai. Usne daant peeskar humein mana kiya; Magar humne aankhon hi aankhon mein use chup rehne ka mashwira diya. Shibbu miyaan is samay muskara rahe the. Aur chunki muskaraane ke sabhy dhnag se weh aparichit the hain, isliye muskaraate hue weh atyant moorkh jaan padhte hain. Poora munh khol kar adhik se adhik daant nikaalkar weh ek khaamosh kehkeha darasal buland karte hain aur ise muskuraana samajhte hain. Khair, isi dhang mein bade saahas ke saath bole-" Chacha jaan ki yahi khwaahish hai ki main bhi aap dono ke saath chalaa jaaon."


R.ana se ab na raha gaya, bilbilaakar noli-" Kis ki khwaahish hai, daddy ki? Unki khwaahish kyon hai? unki is khwaahish ka matlab kya hai aakhir? Weh yeh kyon chaahte hain ki aap bhi akaaran humaare saath jaayein, yeh baat to unse main abhi poochhti hoon."


Yeh kehkar idhar R.ana aur udhar Shibbu miyaan bhi ghabraahat ke saath uth khadhe hue, uska maarg rokkar bole-" Bhai baat to suno, pehle poori baat to sun lo, baad mein gussa karna. Baidh jaao zara. Mera matlab tum kuch galat samajh rahi ho. main to yeh keh raha tha- Pehle baidh to jaao, phir bataaoon saari baat."


R.ana ne baidhte hue kaha-" Farmaayiye, kya kehna chaahte hain aap?"


Shibbu miyaan ne apni ghabraahat par kaabu paate hue kaha-" Saahab, baat yeh hui ki chacha jaan ne mujhse poochha ki tum bhi jaana chaahte ho mari? Maine is par unhein jawaab diya ki agar R.ana bibi aur Farhat saahab aitraaz na karein to kya harz hai."


R.ana ne phir uthte hue kaha-" Achcha to yahi baat main daddy se poochhti hoon ki yeh unhonein kyon poochha tha? Kya bhalaayi sochi thi unhonein ismein?"


Aur Shibbu miyaan phir satpataaye-" Phir wahi jaldbaazi, bhai zaraa baidhkar poori baat to sun lo, aakhir itna naraaz kyon hoti ho?"


R.ana ne waakai naraaz hokar kaha-" Main yeh baat waakai saaf karke rahoongi ki aapki is kahani main kitna hissa aapka hai aur kitna daddy ka."


Humne r.ana ko samajhaaya-" Pehle Shibbu miyaan ki poori baat sun lo itminaan se baidhkar."


Shibbu miyaan ko jaise sahaara mil gay-" Jee haan, yahi main bhi arz kar raha hoon. Is kisse ko aakhir itna tool dene ki kya zaroorat hai? Agar aap dono munaasib nahin samajhte ki main saath jaaoon to bas theek hai, main nahin jaata."


Humne kaha-" Nahin saahab, ismein naamunaasib samajhne ki kaun si baat hai. Aapki wajah se zaraa dilchaspi hi rahegi."


R.ana ne ekdum faisla suna diya-" Main nahin jaati mari, aap hi tashreef le jaayein."


Humne samjhaane ki koshish ki-" Khaakamkhaah ki jiddh........."


R.ana ne is baar humaari baat bhi sunna na chaaha-" Bas, yeh mera aakhiri faisla hai, main hargiz nahin jaaoongi."


Shukr hai ki theek usi samay beghum saahiba chilman aur darwaaze mein fansti hui kamre mein daakhil hui. Weh R.ana ka yeh waakya sun chuki thi ki "Main hargiz nahin jaaoongi", atienw kamre mein aate hi apne ko ek sofe par giraate hue boli-" Kahan nahin jaaogi?"


R.ana ne unke saamne hi keh diya-" Mummy, maine mari ka programme mansookh kar diya hai, main nahin jaati ab."


Beghum sahiba ne aashcharya se humko dekhte hue is prakaar kaha jaise R.ana ne jis bhaasha mein baat ki hai, weh usse parichit nahin hain-" Yeh kya keh rahi hai Farhat Miyaan?"


Humne kaha-" Yeh yon hi keh rahi hai, main inhein samjha doonga."


Beghum sahiba ne kaha-" Magar baat kya hui aakhir? Aur phir Shibbu miyaan ko arthpooran drishti se dekhkar boli-" Kuch Shibbu miyaan ne to nahin kaha hai?"


Shibbu miyaan to chaar bane baidhe hi the, weh kya bolte? Magar R.ana ne kaha-" Daddy chaahte hain ki Shibbu bhai bhi humaare saath jaayein, daddy ka bhalaa ismein kya faayeda hai?"


Beghum saahiba ne aankhein faadhkar kaha-" Tumhaare daddy ne kaha hai. Mujhe yaheek nahin, yeh tumhein kaise maaloom hua?"


Shibbu miyaan ne jaldi se safaai pesh ki-" Jee, baat yon hui ki chacha jaan ne mujhse kaha tha ki agar tum jaana chaahte ho to mujhe aitraaz nahin; tum chale jaao."


R.ana ne kaha-" Jee nahin, aap to yeh farma rahe the kichacha jaan ki yeh khwaahish hai ki main bhi aap dono ke saath jaaoon."


Shibbu miyaan ne ghabraakar kaha-" Magar mera matlab to yahi tha ki goya-yaani..........."


Beghum sahiba ne baat kaatkar kaha-" Khair, na goya ba yaani; magar tumhaara sawaal kaise paida ho gaya tumhaari aur R.ana ki ek minute to banti nahin. Phir yeh ki jo baatein is silsile mein mujhse keh chuke ho. uske baad to main tumko hargiz saath na jaane doongi."


Shibbu miyaan us samay zaroorat se adhik bhaawuk ban gaye. Jab unke chale jaane ka waakai yakeen ho gaya to R.ana hum par baras padhi-" Aur yeh aapse kisne kaha tha ki aap yeh musibat bhi sir laga lein?"


Humne kaha-" Aap to samjhi nahin hain, meri ab bhi yahi raay hai ki inhein waakai saath jaana chaahiye."


R.ana ne jalkar kaha-" Unke saath to koi agar mujhe jannat mein bhi bheje to main saat salaam karoon door se hi aisi jannat ko mummy, aapko nahin maaloom in hazrat ki abhi daddy ne kaafi khabar lee hai, kaafi jhaadh padhi hain, aur hum dono ne sab kuch suna hai. Is ke baad yeh jhootha safed jhooth bol raha tha ki main kya kahoon. Daddy ne to khud in hazrat ke jaane ki mukhaalfat ki hai."


Beghum sahiba ne jal jalkar hazaaron gaaliyaan Shibbu miyaan ko suna daali aur ant mein yeh nishchay hua ki yeh mahaashay kadaashit saath na jaayein humne laakh samjhaaya ki unka saath jaana har prakaar se uchit hai; Magar na beghum sahiba maani na R.ana, vivash humein bhi chup ho jaana padha.


NEXT


           
   
       

poetry book...

       
   

Home...

Hosted by www.Geocities.ws

1