Kabhi Ansuu

Kabhi Aansuu Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker

Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aansuu Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker


 

 

Dil mein jo baat hai

Dil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak....
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak

kab tak is baat ko honton pay na laaoigi tum
kab tak is jazba-e-ulfat ko chupaaoigi tum
kab tak is raah say katra kay chalogi tanhaa
kab tak is aag mein chup chaap jalogi tanha

Dard furqat ka meri jaan sahogi kab tak.......

dil ki woh baat jo honton pay thehar jaati hai
jii jalaati hai tumhara, tumhein tarpaati hai
lab pay laatey hua bhi jis ko hijaab aata hai
bin kahe bhi jisay dil chain nahin paata hai

chup kay darya mein khamoshi say bahoogi kab tak......
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak


 

 

Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They

Jab Tere Dhun Main Jia Karty Thay
Ham Bhi Chup Chap Phira Kartay Thay

Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Kartay Thay

Loog Aaty Thay Ghazal Suneney Ko
Ham Teri Baat Kia Kartay Thay

Sach Samjthay Thay Tere Wadoon Ko
Raat Din Ghar Main Raha Kartay Thay

Kisi werany Main Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Kartay Thay

Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatira
Ham Tera Nam Likha Kartay Thay

Wo Bhi Kia Din Thay, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Kartay Thay

Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay


 

 

Ghum Ki Raat

Kaati hai ghum ki raat baray ehtram se
aksar bujha chuke hain chiragon ko shaam se

roshan hai apni bazm or is ehtimaam se
kuch dil bhi jal rahay hain chiragon k naam se

muddat hui hai khoon-e-tamanna kiiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil k jaam se

subha-e-bahar hamko bulati rahi magar
ham khailte rahay kisi zulfon ki shaam se

har saans per hai maut ka pehra laga hua
ahista ay hayat guzar is maqaam se

kaati tamaam umar fareb-e-bahar main
kaante samet'te rahay phoolon k naam se

ye aur baat hai k DUA ham ne use di
awaaz us ne di hai hamain har maqaam se.


 

 

Jiski Talash hai

Jiski talaash hai usko pata hi nahi,
hamari chahat ko usne samjha hi nahi,
hum poochte rahe ke kya tumhe humse pyar hai ,
woh kehte rahe ki unhe pata nahi

ae dil kisiki yaad mein rona fizul hai
yeh aansoo bade anmol hai ise khona fizul hai,
ro to unke liye jo humpe nisar hai
unke liye kya roye jinke ashiq 1000hai

Hamne to manga tha saath unka
woh judai ka gham de gaye
hum yadon ke sahare ji lete
woh bhul janeka kasam de geye!!

sunte hai har cheez milti hai dua se,
ek din dekhlenge tumhe maamgkar khuda se!


 

Ae Kash Koi Aesa To Hota

Ae kash koi aesa to hota
jo la deta mere khwab sare
jo meri sumandir ankhon se chun leta azab sare
jis ki sangit me mujhe apne hone ka ehsas hota
mera har ansoo us ke liye azab hota
par ae nadan dil mujhe paata hai
mera wajud kis miti se bana hai mujh ko paata hai
mere saare gham mere hain
yeh tanhaian bhi meri hain
in sumandir ankhon ke azab bhi mere hain
mera har ansoo bhi sirf mera hai
izat daro ke is shaehar me
yeh izat ka janaza bhi mera hai
gaerat ke in darbaro me
yeh chalni wajud bhi mera hai
rasm wa rawaj ke is kafs me
qaed yeh ruh bhi meri hai
mera har khwab shisha hai
aur yeh insan pathar sare
ae kash koi aesa to hota
jo la deta mere khwab sare
jo meri sumandir ankon se chun leta azab sare


 

Door Jo aaj Hain

Door Jo Aaj Hain

Yaad Aatey To Hain

Khawab Adhory Sahi

Khawab Sahary To Hain

Aaj Bhi Meri

Raheen Rokty Hain

Yaddein Teri

Daman Khenchti Hain

Bhool Chuky

Han JO Hamein

Yaad Aaty Tu Hain

Sadion Key Fasly

Aaj Hain Darmian

Ho Jayien Magar

Aap Jahan Bhi Rahein

Aap Hamary To Hain

Janey Phir Kab Mileen

Tery Mery Raasty

Aas Thooty Nahin

Yaad Inta Rahy

Raat Dhalni To Hai

Aany Ujaly To Hain


 

 

Jiss Simt Bhi Dhaikhoon

JIS SIMT BHI DAIKHOON NAZAR ATA HAIY KE TUM HO
AY JANE JAHAN YE KOI TUM SA HAIY KE TUM HO
YE KHAAB HAIY, KHUSBOO HAIY,YE JHONKA HAIY KE PAL HAIY
YE DHUND HAIY, BADAL HAIY KE SAIYA HAIY KE TUM HO
IS DEED KI SAAT ME KAI RANG HAIN LARZAAN
MAIN HOON KE KOI AOUR HAIY DUNIYA HAIY KE TUM HO
DAIKHO YE KISI AOUR KI ANKHAIN HAIN KE MERI
DAIKHOON YE KISI AOUR KA CHEHRA HAIY KE TUM HO
YE UMR-E-GURAIZAAN KAHIIN THEHRAY TO YE JANOON
HAR SANSE MAIN MUJHAY YEHI LAGTA HAIY KE TUM HO
HAR BAZM MAIN MOUZU-E-SAKHAN DIL-E-ZARGAAN KA
AAB KON HAIY SHEEREEN HAIY KE LAILA HAIY KE TUM HO
IK DARD KA PHAILA HUWA SEHRA HAIY KE MAIN HOON
IK MOUJ MAIN AIYA HUWA DARIYA HAIY KE TUM HO
WO WAQAT NA AYE KE DIL-E-ZAAR BHI SOCHAY
ISS SHEHAR MAIN TANHA KOI HUM SA HAIY KE TUM HO


 

Tum Bin

kaisay jia jaiy tum bin
tum bin jia jaay kaisay
sadioon say lambi hain raatain
sadioon say labbay hoay din
aa jao lot kar tum
yeh dil kah raha hay
phir sham y tanhai jagi
phir yaad tum aa rahay ho
phir jaan nikalnay lagi hay
phir mujh ko tarpa rahay ho
is dil main yaadoon k melay main
tum bin bohat hum akalay hain
aa jao lot kar tum
yeh dil kah raha hay
kia kia na soocha tha dil nay
kia kia na sapnay gagaay
kia kia na chaha tha dil nay
kia kia na arman gagaay
is dil say tofan nikaltay hain
tum bin to jitay na martay hain
aa jao lot kar tum
yeh dil kah raha hay


 

Dil Ne Hamare

dil nay humaray bathay bathay kaisy kaisay rog lagaiy
tum nay kissi ka naam lia or aankhoon main apni aanso aaiy

jitni zubaanain utnay kissay apni udasi k karan k
laiken loog abhi tak yeh sada si pahayli boojh na paaiy

ishq kia hai?kis say kia hai?kab say kia hai?kaisay kia hai?
loogoon ko ik baat milli, apnay ko to laiken rona aaiy

rah main yoheen chaltay chaltay un ka daaman tham lia tha
hum un say kuch mangana chahain,hum say to yay soocha bhi na jaiy

najam_y_sahar k chahray say insha itni bhi umeed na lagao
aisa bhi hum nay daikha hai aksar raat katay or subha na aaiy


 

Teri yaad

ratoon ko koi sooch jagaay to kia karoon
wo chandni kay roop main aaiy to kia karoon

hazir hoa hoon main bar ha lay kar mukhlasi
wo mukhlasi ki qadar na paay to kia karoon

main to rahoon khamoosh kay ruswa na hoon kaheen
wo har kissi ko raz bataay to kia karoon

daikha nahi hay doosto maykada kabhi
aankhoon say koi aa kay pilaay to kia karoon
tori hai aaj us nay mumtaz doosti
apnay likhay ko aap mitaay to kia karoon


 

Kahan Ye Bas Main Haiy

kahan yeh bas main kay hum khud ko hosla daitay
yahi bohat tha kay har gham par muskura daitay

humaray aqs main hoti jo zakham dil ki jhalak
hum aainay ko bhi apni tarhaan rullla daitay

humain bhi rooshnioon par jo dastaras hoti
kabhi charagh jalatay or kabhi bhuja daitay

humaray paoon hawa ki zad main thay warna
guzarti umar ko ruk ruk kar hum sada daitay


 

Kaisee Chalee Haiy Hawa

Kaisee chalee hai ab ke hawaa in bahaaron mein
khushboo bhi kho gayi hai ab in gulzaaron mein

Suna tha ki aik hi, khuda ki hai ye duniya
jal rahi hai aaj vo mazhab ke shraaron mein

Hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
maut yahan biktee hai sur-e-aam bazaaron mein

Insaan bhula baitha hai, qeemat sab rishton ki
ab to yeh bhi mil jaate hai aam ishthaaron mein

Yun to mujhe naseeb se 'Anant' dost milay hain
na mila vo chaand jo, dekha tha nazaaron mein


 

Tere Naam

main apna aaj apna kal tumharay naam karta hoon
main is jiwan ka har ik pal tumharay naam karta hoon

mera guzra hoa kal to meray mazi ka hisa hai
main apna aaj apna kal tumharay naam karta hoon

khizain, sardian, garmi, baharain, barishain, jara
main har mosam ka har har pal tumharay naam karta hoon

tumharay dukh, udasi, gham sabhi rang_o_alam lay kar
main yeh khusioon bhari chagul tumhary naam karta hoon

sitaray aasman kay sab tumhari maang main bhar kar
shab_y_teraka sab kajal tumharay naam karta hoon

tumharay bin har ik pal mujhay baychain rakhta hai
main apna dil jo hai baykal, tumharay naam karta hoon

barasta bheegta mosam hai kamzori mere kaiken
main yeh sawan, ghata, badal tumharay naam karta hoon


 

Wo Raatain Mosamain Sarma Ki

wo raatain mosamain sarma ki
wo baatain mosamain sarma ki,

wo teray sath hi sab kuch tha
wo sarma bhi aab beet gia,

wo dar dar kay jab miltyay thay
wo mil mil kay jab dartay thay,

wo milnay ki qasmain kha kha kar
hum jitay thay hum martay thay,

aab yaad dilay koon tumhay
yeh saal bhi akhir beet gia,

na tum aaiy na khat koi likha
pora kia na wada koi,

or apna bhi koi dosh nahi
yeh bazi bhi jag jeet jia,

wo sard hawain aab bhi hain
rangeen fizain aab bhi hain,

wo bhigay bhigay pani ki
purshor sadain aab bhi hain,

main aab bhi udhar ko jata hoon
or dil apna sulgata hoon,

jab tum nahi hotay sath meray
hotay hain khali haath meray,

purshor sadain poochti hain
wo sard hawain poochti hain,

wo kahan gia sathi tera
kia phir yeh zamana jeet gia.

 


 

Umr Ka Hasil

umr ka haasil tha jo kuchh khho diya paane ke baad
aaNkh bhar aayi meri dil ko samjhaane ke baad

maiN ne aangan meN lagaaya paiRh tha saaye ko magar
uss ne deewaareN gira diN parwarish paane ke baad

ishq jaisa kaar-e-naaqas hai mere gham ka sabab
maiN buhat hi muskraaya aankh bhar aane ke baad

ham ne daikha hai khushi se raqs karte "gard" ko
apne chahre pe tera ik naksh-e-paa paane ke baad

daanay-e-gandam meN jaane kya nasha hai ai khuda
aadmi sab bhool jaata hai isse khaane ke baad

kya haal hai zaayer tumhaara kaise ho tum in dinoN?
poochhne woh mujh se aaya dil ke luT jaane ke baad


 

 

Ik Din Yaadon Ki Gali Main

Ek din yaadon ki gali mein chal pada main
Badi sooni gali thi
jahan toote makanon mein rehta tha thehra waqt
Waqt ke un tanha palon se milne chala tha main
Par darta tha-kahin kal aaj mein na ghul jaaye
kahin aaj kal mein na ghul jaaye.
makaanon ki chaaron taraf deewarein thi
Jo maine khud khadi ki theen.
Aur woh raheen thi aur mazboot, aur mazboot.
Aur woh pal ghut ghut ke mar rahe the.
Cheekhte the"mujhe bahar aane do,main bhi tumhari duniya dekhna
chahta hoon."
us din main unhi se milne nikla tha,
maine makaan ka darwaaza khola aur kya paaya?
apni yaadon ki laashein.


 

 

Tere Ishq Main

tere ishq me hamay yeh zamaana ruswa karay to karay
teri rafaqat se gar adawat yeh dunya karay to karay
.
dard-e-dil yoon jata nahin koyee dawa karay to karay
bas khudaa karay to karay, koyee duaa karay to karay
.
kissi kaa yoon to huwa kaun umar bhar phir bhee
ik yaqeen sa hai keh ab mot juda karay to karay
.
hai wafa khaslat apni so is ko nibhaatay hain ham
koyee bewafaa ho to ho, koyee jafa karay to karay
.
is qadar aasan nahin hai ulfat ka haq ada karna
hazar baar jaan de kar koyee ada karay to karay


 

Dil to Kiya Cheez Haiy

dil to kya cheez hai jaaN bhi lutaayi tujh par
tu ne magar na ki jazbaat ki qadar phir bhi
.
dil ke dar-o-diwaar tere rang meN range the
ujaarh tu ne diya khawaahishoN ka ghar phir bhi
.
teri aamad shab-e-tanhaayi meN aik hasrat thi
ummeed ki shama jalaayi ta-sahar phir bhi
.
dil ko sambhaalne ki ham ne buhat koshish ki
bana thokar dil ki chaahat ka har safar phir bhi
.
hamaara dil to pahle hi tha tukRha tukRha
teri jafa ne dhhaaye buhat qahar phir bhi
.
jatan ham ne buhat kiye tujhe bhulaane ke
samaayenazar meN rahte tere manzar phir bhi
.
ab in be-asar siskiyoN se kya haasil
"kissi ka yooN to hua kaun umar bhar phoir bhi"


 


 

Hosted by www.Geocities.ws

1