
![]() |
|||||
![]() |
|||||
| When the roses lose their fragrance the world seems at an end the day has lost It's gladness what a blessing is poetry. | |||||
Neeli Chandni Mein
Tammanaon ki neeli chandni mein Kahan ho tum hamari zindagi mein Kahan in surkh pholon ko chupaon Udaasi hal na ho jaye khushi mein Tere alfaaz hain anmol tohfey Jo dhalte ja rahe hain shayeri mein Mera foto saja kamre mein uskey Yakayak ho gai kitni barri mein Meri sochon ka darya kaise murrta Kahan tum jaisi gehrai kisi mein Zara baarish ki be-baaki to dekho Chamma cham aa gai meri hansi mein Sawaal uski anna ka aa gaya tha Jawaban likh diya naina sabhi mein "Aaj in nazaron ko tum dekho" 2006-12-22 13:03:58 GMT
|
|||||