Shers
Essence (khusbo)
Dekhi
hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon
lag raha jaisey Samander udaas hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shumm'a
Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke
Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke
Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney
chaley aatey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mujh
ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon
Kinaarey sey Samandar nahin dekha
jaata
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein
kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta
poochoon
Jaaney
kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Zakhmi
Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko
Deewangi ke Saath
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein
aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon
sey gira kar Mujhey matti mein mila
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Sab
ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya
soch ke rota raha Qatil Mera
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~
"Idher" Zindagi Ka Janaaza Uthey Gaa
"Udher" Zindagi Unn ki
Dulhan Buney gee
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~
Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai
tou, aankhon mein utar aata hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Meri
Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey
na milta tou Adhoora rehta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
"Toou"badalta
hai tu be-saakhta meri Aankhein
Apney Haathon ki Lakeeron
mein ulajh jaati hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Waada
"Woh" kur gaiey hain ke "Aain gey Khawaab mein
Maarey
khushi ke neend naa aiey tu kiya karoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Merey
Mehboob , iss qadar Mein tujh se Pyar karoon
"Toou" agar
jhoot bhi boley tu Aitebaar karoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shaakh
se kutney ka ghum , unn ko buhut tha
Phool majboor thay,
hanstey rahey Guldaanon mein
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~
Ander lagi thi Aag magar be-khabar thay Log
Jultey huey
Makaan ke bahar Dhooaan na Tha...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~
Woh Ashk bun ke Meri Chashm-e-Tur mein rehta hai
Ajeeb
shakhs hai... Paani ke Ghur mein rehta hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Liptay
kabhi Shaano'n sey, kabhi Zulf sey
uljhay
Kiyon
dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Tera
saath hai tou mujhey kiya kumi hai
Andhairon se bhi mil
rahi ROSHNI hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aik
cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tumhein
dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey
thay
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ya
khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko
sheesha na banaya hota