![]()
Khush Raho Tum...
Meri Dua hai k khush raho tum... Milay na koi ghum jahan bhi raho tum... Samandar ki tarah Dil hai gehra tera... Khushioun sey bhara rahay Daman tera... Tum jo kaho woh har khawahish puri ho tumhari... Khuda sey bus yehi Dua hai hamari... Tuhfa kya dun tumhein duaoun k siwaa... K Khuda hamesha rahay tum sey razi sada..."Pyar Mera Aur Tumara" Jo Nahi Karna Chahte Thee Woh Hamein Karna Para Kisi Ke Liye Hamein Kisi Ko Bhulna Para Zakham Jo Tumne Diye Unko hamein Seena Para Na Chah Kar Bhi Hamein Tumhein Bhulna Para !!!!!!!
"Acha Nahin Lagta" Tumhara Yun Bichar Jana Mujhe Acha Nahin Lagta... Tumharay Bin Abb Dil Kahin Bhi Nahin Lagta... Tumhara Pyar Mein Larna Acha To Lagta Hai... Mager Khamosh Ho Jana Mujhe Acha Nahin Lagta... Tumhari Inn Haseen Aankhoun Per Apni Jaan Deta Hoon... Mager Sunoo!Inn Ka Chalak Jana Mujhey Acha Nahin Lagta...
"Dil ki Dua...." Tere Laboun Per Hamesha Muskurahat Saji Rahay... Tu Jidher Bhi Jaey Woh Mehfil Tujhse Saji Rahay... Yeh Dua Hai Meri Tu Chu Ley Kabhi Aasman Ko... Tere Dam Sey Yeh Kainaat Saji Rahay... Tum Ban Jaoo Woh Haseen Shahkar... K Jis Ki Tamana Karay Har Koi... Aur Tujhse Hi Har Anjuman Saji Rahay... Tere Sayhai k Pass Bhi Na Aaye Ghamoun Ki Parchaein... Tu Sada Phouloun Si Mehakti Rahay... Aur Teri Yeh Zindagi... Hamesha Khushioun Sey Saji Rahay...
"Dosti" Dosti Kya Hai...? Bharosey Ki Ek Dour... Wafa Ka Dosra Naam Jenay Ki Ek Aas... Sirf Ek Ehsaas,Haan Sirf Ek Ehsaas... Socho To Buhat Kuch Na Socho To Kuch Bhi Nahin... Na Iss Mein Khoon Ki Aazmish,Na Zaat Ki Qaid... Muhabbat Ka Pegham... Dosti Kya Hai...? Wafa Ka Dosra Naam...
"Guzeray dinoun ki Yaad" Wafaoun Se Lepti Shaam Phir Luot Aaey... Woh Guzeray Dinoun Ki Yaad Phir Luot Aaey... Teri Wafaoun Key Dareechoun Mein Tanha Hua Bhi... Aisa Lagta Hai K Eik Awaz Kanoun Mein Phir Luot Aaey... Qayamat Se Bhari Ek Umer Guzar Aaya Hoon Mein... Janat Ki Khusboo Se Bhari Shaam Phir Luot Aaey... Ek Pyar Ka Ehsaas Tha Meray Mann Mein Uss Bewafa... K Dil Mein Meri Muhabbat Phir Luot Aaey...
![]()