Mat pee sharab galib masjid mein baith kar ek hi botal hai,
kahin khuda na mang le. wah*wah*wah*wah
Dharti so rahi hai,
Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai
Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai? *wah*wah*wah*wah
Dibbe pe dibbe, dibbe pe dibbe
Dibbe pe dibbe, dibbe pe dibbe
DIBBE pe dibbe, DIBBE PE dibbe
Are wah, kya balance!
Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan. *wah*wah*wah*wah
Bakari chadhi pahad par , pani peene ko
Bakari chadhi pahad par , pani peene ko
pani mila nahin, bakari neeche ootar aayee. *wah*wah*wah*wah
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain....
JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!! *wah wah wah *
mujhe phir wahi yaad aane lagi hai
mujhe phir wahi yaad aane lagi hai
mujhe kyon infinite loop me dal rahi hai?? *wah*wah
Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao......... *wah*wah*wah
Maine tumhare yaadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itney be-wafa nikle ki nahake chal diye *wah*wah
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ...
ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai?? *wah*wah*wah
Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye
Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye,
iodex maliye kaam pe chaliye *wah*wah*wah*wah*wah
Door se dekha to kuchh dikha nahi.......
Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi......
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi *wah*wah*wah
Door se dekha to Patthhar dikhta tha......
Dooor se dekha.. to Patthharr dikhtaa thaa.......
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa....... *wah*wah*wah
Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Flutter Flutter, Flutter Flutter *wah*wah*wah
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Sin theta by cos theta is equal to tan theta *wah*wah*wah*wah*wah
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita *wah*wah*wah*wah*wah