dard
ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye
ye zamii.n aasamaa.N na ho jaaye
dil me.n Duubaa huaa jo nashtar hai
mere dil kii zubaa.N na ho jaaye
dil ko le liijiye jo lenaa hai
phir ye saudaa giraa.N na ho jaaye
aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
dard kii baarish sahii maddham
zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal
tere milane aur phir tere
bichha.D jaane ke biich
faasalaa rusvaa_ii kaa hai kam zaraa aahistaa chal
apane dil hii me.n nahii.n
hai us kii maharuumii kii yaad
us kii aa.Nkho.n me.n bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal
ko_ii bhii ho ham-safar
'Raashid' na ho Khush is qadar
ab ke logo.n me.n vafaa hai kam zaraa aahistaa chal
NEXT |