charaaG
dil ke jalaao ki iid ka din hai
taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai
Gamo.n ko dil se bhulaao ki iid kaa din hai
Khushii se bazm sajaao ki iid kaa din hai
huzuur us kii karo ab salaamtii kii duaa
sar-e-namaaz jhukaao ki iid kaa din hai
sabhii muraad ho puuriihar ek savaalii kii
duaa ko haath uThaao ki iid kaa din hai
!!!!!!!!!!!!!
charaaG-e-ishq jalaane kii raat aa_ii hai
kisii ko apanaa banaane kii raat aa_ii hai
falak ka chaa.Dd bhii sharmaa ke muu.Nh chhupaayegaa
naqaab ruKh se uThaane kii raat aa_ii hai
nigaah-e-saaqii se paiham chhalak rahii hai sharaab
pi_o ki piine-pilaane kii raat aa_ii hai
vo aaj aa_e hai.n mahafil me.n chaa.Ndanii lekar
ki raushanii me.n nahaane kii raat aa_ii hai
NEXT |