URDU POEMS

 
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
[azaab=trouble, difficulty]
baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye
har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye
na gaii tere Gam kii saradaarii
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye
jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye
is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye
'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me.n
mehashar ke fitane khelate hai.n jalwa-gaah me.n
wo dushmanii se dekhate hai.n dekhate to hai.n
mai.n shaad huu.N ke huu.N to kisii kii nigaah me.n
aatii baat baat mujhe yaad baar baar
kahataa huu.N dau.D dau.D ke qaasid se raah me.n
is taubaah par hai naaz mujhe zaahid is qadar
jo TuuT kar shariik huu.N haal-e-tabaah me.n
mushtaaq is adaa ke bahot dard-ma.nd the
ae DaaG tum to baiTh gaye ek aah me.n

NEXT

Hosted by www.Geocities.ws

1