URDU POEMS

 

bhuulii hu_ii sadaa huu.N mujhe yaad kiijiye
tum se kahii.n milaa huu.N mujhe yaad kiijiye

ma.nzil nahii.n huu.N Khizr nahii.n rahazan nahii.n
ma.nzil kaa ra.ntaa huu.N mujhe yaad kiijiye

merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
mai.n ishq kaa Khudaa huu.N mujhe yaad kiijiye

naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye

gum-sum kha.Dii hai.n dono.n jahaan kii haqiiqate.n
mai.n un se kah rahaa huu.N mujhe yaad kiijiye

"Sagar" kisii ke husn-e-taGaaful shaar kii
bahakii hu_ii adaa huu.N mujhe yaad kiijiye

!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

biich me.n pardaa du_ii kaa thaa jo haayal uTh gayaa
aisaa kuchh dekhaa ke duniyaa se meraa dil uTh gayaa

shamaa ne ro ro ke kaaTii raat suulii par tamaam
shab ko jo mahafil se terii ai zeb-e-mahafil uTh gayaa

merii aa.Nkho.n me.n samaayaa us kaa aisaa nuur-e-haq
shauq-e-nazzaaraa ai badr-e-kaamil uTh gayaa

ai Zafar kyaa puuchhataa hai begunaah-o-bar-gunah
uTh gayaa ab jidhar ko vaaste qaatil uTh gayaa

NEXT

Hosted by www.Geocities.ws

1