beqaraarii
sii beqaraarii hai
din bhii bhaarii hai raat bhaarii hai
zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai
[bisaat=game-board]
to.Do dil meraa shauq se to.Do
chiiz merii nahii.n tumhaarii hai
baar-e-hastii uThaa sakaa na ko_ii
ye Gam-e-dil jahaa.N se bhaarii hai
[baar=weight]
aa.Nkh se chhup ke dil me.n baiThe ho
haa_e kaisii ye pardaa-daarii hai
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
bha.Dakaa rahe hai.n aag
lab-e-naGmaagaar se ham
Khaamosh kyaa rahe.nge zamaane ke Dar se ham
kuchh aur ba.D gae a.Ndhere to kyaa huaa
maayuus to nahii.n hai.n tulu-e-sahar se ham
le de ke apane paas faqat ek nazar to hai
kyuu.N dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
maanaa ki is zamii.N ko na gulazaar kar sake
kuchh Khaar kam kar gae guzare jidhar se ham
NEXT |