|
MISCELLANEOUS
*. Wo dana-e-subul, khatam-ur-rasul, maula-e-kul jis ney Ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-seena Nigah-e-ishq-o-masti main wohi awwal wohi aakhir Wohi Quran, wohi Furqan, wohi Yasin, wohi Taha (Referring to Prophet Muhammad (Peace Be Upon Him))
*. Teri nigah main sabit nahin Khuda ka wajood? Meri nigah main sabit nahin wajood tera Wajood kya hai? faqat johar-e-khudi ki namu Kay apni fiker ker, johar hai baynamud tera
*. Zairan-e-Kaba say Iqbal, ye poochey koi Kya Haram ka tohfa zam zam kay siwa kuch bhi nahin?
*. Gulzar-e-hast-o-bood na baigana waar dekh Hai dekhney ki cheez, issey bar bar dekh Aya hai tu jahan main misl-e-shola zaar dekh Dam dey na jayye hasti-e-napaydar dekh Mana kay teri deed kay qabil nahin hon main Tu mera shok dekh, mera intizaar dekh Kholi hain zoq-e-deed nay aankhain teri agar Her rehguzar main naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh
*. Iss chaman main murgh-e-dil gayey na azadi kay geet Aah! ye gulshan nahin aisey taraney kay liyey
*. Terey ishq ki inteha chahta hon Meri saadgi dekh, kya chahta hon Bhari mehfil main raaz ki baat keh di Bara bayadab hon, saza chahta hon
*. Ye Hind kay firqa saaz Iqbal aazri ker rahey hain goya Bacha kay daamin buton say apna ghubar-e-rah-e-Hijaz ho ja
*. Parwaney ko chiragh hai, bulbul ko phool bas Siddique kay liyey hai Khuda ka Rasool (PBUH) bas
*. Aag hai, aulad-e-Ibraheem (PBUH) hai, namrud hai Kya Kisi ko phir kisi ka imtihan maqsood hai?
*. Khatar pasand tabiat ko saazgaar nahin Wo gulistan kay jahan ghaat main na ho sayyad Muqam-e-shok terey qudsiyon kay bas ka nahin Unheen ka kaam hai ye jin kay hosley hain Zayyad
*. Jalal-e-paadshahi ho, ya jamhoori tamasha ho Juda ho deen syasat say, tou reh jaati hai chengezi
*. Issi Quran main hai ab tark-e-jahan ki taleem Jis nay momin ko banaya may-o-perween ka amin Tan ba taqdeer hai aaj un kay amal ka andaz Thi nihan jin kay iradon main Khuda ki taqdeer
*. Hai mamlakat-e-Hind main yek terfa tamasha Islam hai mehboos, Mullah hai azaad
*. Wajud-e-zan say hai tasweer-e-kaynat main rang Issi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-darun Sharf main berh kay surrayya say masht-e-khaak iss ki Kay her sharf hai ussi darj ka dur-e-maknu
*. Mashriq say ho bayzaar, na maghrib say hazar ker Fitrat ka ishara hai kay her shab ko seher ker
*. Na Asia main, na Europe main soz-o-saz-e-hayaat Khudi ki mout hai ye, aur wo zameer ki mout Dilon main walwala-e-inqilaab hai paida Qareeb aa gayi shayad jahan-e-peer ki mout
*. Main kar-e-jahan say nahin aagah hon lekin Arbab-e-nazar say nahin poshida koi raaz Ker tu bhi hakoomat kay waziron ki khushamad dastoor naya aur nayey dour ka aaghaz
*. Teri hareef hai ya Rabb! syasat-e-afrang Magar hain iss kay pujari faqat ameer-o-raees Banaya aik hi Iblees aag say TU nay banayey khaak say iss nay dou sa'd hazar iblees
*. Tera pesha hai saffaki, mera pesha hai saffaki Kay hum kazzak hain dono, tu maidani, main daryai
*. Teri dua say qaza tou badal nahin sakti Magar hai iss say ye mumkin kay tu badal jayey Teri dua hai kay ho teri aarzu poori Meri dua hai teri aarzu badal jayye
*. Aaj wo Kashmir hai mehkoom-o-majboor-o-faqeer Kal jissey ahle-e-nazar kehtey thay Iran-e-sagheer
*. Mumkin hai kay tu jis ko samjhta hai baharan Auron ki nigahon main wo mosam ho khizan ka Shayad kay zameen hai ye kissi aur jahan ki Tu jisko samajhta hai falak apney jahan ka
*. Mutmain hai tu, pareshan misl-e-bu rehta hon main Zakhmi-e-shamsheer zoq-e-justuju rehta hon main
*. Iqbal bhi Iqbal say aagah nahin hai Kuch iss main tamaskhar nahin, Wallah nahin hai |