Mirza Ghalib


Main
Ibteda
Aah ko chahiye
KAbse hoon kya bataon
Hazaron khwahishen aisi
Dil hi to hai
Woh firaaq aur woh visal
Yeh na thi hamari qismat
Bazeecha-e-atfal hai
Dil hi to hai
Zulmatkade mein mere
Dil-e-nadan tujhe
Unke dekhe se
Sab kahan kuchh lala-o-gul
Na tha kuchh to khuda tha

Woh Firaaq Aur Woh Wisaal KahaaN?��

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN?

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?

hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN?

muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN?

Hosted by www.Geocities.ws

1