Ajnabi  

 

Lo Aaj Qalam phir main nay uthaaya
Dil ki kahani ko phir warq per sajaaya
Yeh Dard kia  hai jo barhey jaa raha hai
Meri neend, Mera chain liay jaa raha hai
Koi to bataaye yeh kia maajra hai
Kioon mera dil us pay ruka hai
Woh kaun hai , Kahan hai batlaaye koi
Meri yeh uljhan suljhaaye koi
Woh aaye kahan say, Ruki aur chali thee
Maanoos lagi thee shakl woh bhalee seee
Main jisay dekh ker yun khayaalon main khoya
Jisay paaney ki lagan main dil khoob khoob roya
Bataaye koi kahan gaya woh ajnabi
Woh khoob ru haseen, dil nasheen , mah jabeen
Meri uljhan ko ab suljhaaye koi
Meri neend mera chain lautaaye koi
Key yeh dard ab qaabil-e-bardaasht nahi hai
Is Dil-e-Naazuk main ab aur jaan nahi hai..

 

 

 

Hosted by www.Geocities.ws

1