Teray liye...  

 

Meray saamney baitha hai woh
Us say Kuch baat kerna chaahta hoon
main kia kahoon, kaisey kahoon
har baar dar sa jaata hoon
Us k chehray ki woh maasoomiat
Us ki baaton main hai ek Ajnabiat
Per aankhon say chalkey kuch Apnaayyiat
In aankhon main utarna chaahta hoon
Uthta hoon , Ruk jaata hoon
Sochta hoon. baith jaata hoon
main kia kahoon, kaisey kahoon
har baar dar sa jaata hoon
Us say yeh poochoon kaun ho tum
tum kis jahaan say aaye ho
yeh aankhain, teri yeh muskaan
yeh baatain kahaan say laaye ho
sab poochoon to kis tarha poochoon
har baar dar sa jaata hoon
is dunya main miltee saari khushyan
kaisey kahoon main teray liay
har pal har lamha bas tery liay
ek aangan main bikhairna chaahta hoon
per kia keroon.. yeh kaisey kahoon..
har baar dar sa jata hoon
 

 

 

 

Hosted by www.Geocities.ws

1