This page was last updated on Wednesday, the 20th of October 2004 at 11:45 p.m. IST by Chirayu.

Sher-o-Shayari

Husn deta hai Khuda
To nazaakat aa hi jaati
Garoor mai ladkhadakar jab rakhte hai kadam
To kamr balkha hi jaati hai

Woh aaina dekhte hai
Woh aaina dekhte hai
Aur yeh bhi dekhte hai ki
Koi unhe na dekhe
Unhe Ara-e-Gesu se matlab
Koi Deewana ban jaaye unki balaa se

Sau saal tak sanam ki
Aankhon mai Aashiqui de
Mere Khuda mujhe tu
Ek aur zindagi de

Kaise karu mohabbat
Do din ki zindagi mai
Yeh din to beet jaayenge
Yuhi hasi hasi mai

Mohabbat mai nahin hai farq
Jeene ya marne ka
Bas usi ko dekhkar jeete hai
Jis Kaafir pe dam nikle

Hazaaron khwaishain aisi
Ki har Khwaish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan
Par phir bhi kam nikle

Ulfat ki nayi manzil ko chali tu
Daal ke bahe bahoon mai
Ae dil todnewaali
Dekh ke chal
Hum bhi pade hai teri raahon main

Sau chaand bhi chamkenge to kya baat banegi
Aaap aaye to is mehfil ki aukaad badhegi

Tanhai hai pyar mein
Barbaadi hai pyar mein
Aansoon hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein
Gam bhi hai pyar mein
Haar bhi hai pyar mein
Hamein sab pata hai
Lekin kya kare yaaron
Hum bhi hai pyar mein!

Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha aapke andaaz ka hai
Kuch nasha hamaare jazbaat ka hai
Kuch nasha is dheemi barsaat ka hai
Hamein aap yun hi sharabi na kahiye
Is dil par asar to aap se mulaakat ka hai!

Ae baarish zara tham ke baras
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras
Pehle na baras ki woh aa na sake
Phir itna baras ki woh jaa na sake

Aankhon ki zuban woh samajh nahin paate
Hooth magar kuch keh nahin paate
Apni bebasi kis tarah kahe
Koi hai jiske bina hum reh nahin paate

Hum labon se keh na paaye unse haale dil kabhi
Aur woh samjhe nahin ye Khamoshi kya cheez hai

Usko chaha bhi to izhaar karna na aaya
Kat gayi umr hamein pyar naa karna aaya
Usne maanga bhi agar kuch
To judai mangi
Aur ek ham they ki hamein inkaar naa karna aaya

Toote huye paimaane mein jaam nahin aata
Ishq ke mareez ko aaram nahin aata
Ae dil todnewali tune yeh to socha hota
Toota hua dil kisi ke kaam nahin aata

Kaash banaanewale ne sheeshe ka dil banaya hota
Kaash banaanewale ne sheeshe ka dil banaya hota
Todnewale ke haath main koi zakhm to aaya hota

Bewafaaon ke shaher mai hum dil kho baithe
Jaise patthar se paani maang baithe
Naadaan they hum
Ke tumse pyar kar baithe

Agar ham na hote to tujhe Gazal kaun kehta
Tere Chehre ko Kamal kaun kehta
Yeh to karishma hai Mohabbat ka
Warna paththaron ko Taj Mahal kaun kehta!

Phulon ki har kali khushboo de aapko
Suraj ki har kiran roshni de aapko
Hum to kuch dene ke kabil nahi
Par dene wala har khushi de aapko

Dosti ki dastaan jab waqt sunayega
Humko bhi koi shaksh yaad aayega
Bhul jaayenge zindagi ke ghamo ko
Jab aapke saath beeta waqt yaad aayega

Ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
Chand lafzon mein koii aah chhupaa dii jaaye

Tu is tarah se meri zindagi mai shaamil hai
Jahan bhi jau to lagta hai ki teri mehfil hai

Back to the top

This page was last updated on Wednesday, the 20th of October 2004 at 11:45 p.m. IST by Chirayu.

Back to the Homepage
Hosted by www.Geocities.ws

1