Mehfil-e-Shayeri
(Urdu Poetry)




Vo aaye ghar me.n hamaare, Khudaa kii qudarat hai
kabhii ham unako, kabhii apane ghar ko dekhate hai.n



Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai
Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai
Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai
Hathoan ki rekhaon mein ek chehra sa ban jatta hai
Uski sanse resham jaisi gallo ko chu jaati hai
Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein...."



jaate jaate vo mujhe achchhii nishaanii de gayaa
umr bhar doharaauu.Ngaa aisii kahanii de gayaa

us se mai.n kuchh paa sakuu.N aisii kahaa.N ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa

sab havaa_e.n le gayaa mere sama.ndar kii ko_ii
aur mujh ko ek karatii baadabaanii de gayaa

Khair mai.n pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa
merii palako.n kii kataaro.n ko vo paanii de gayaa




mai.n bhuul jaauu.N ab yahii munaasib hai
magar bhuulanaa bhii chaahuu.N to kis tarah bhuuluu.N
ki tum to phir bhii haqiiqat ho ko_ii Khvaab nahii.n
yahaa.N to dil kaa ye aalam hai kyaa kahuu.N
kamabaKht
bhulaa sakaa na ye silasilaa jo thaa hii nahii.n
vo ik Khayaal
jo aavaaz tak gayaa hii nahii.n
vo ek baat
jo mai.n kah nahii.n sakaa tum se
vo ek rabt
vo ham me.n kabhii rahaa hii nahii.n
mujhe hai yaad vo sab
jo kabhii huaa hii nahii.n
agar ye haal hai dil kaa to ko_ii samajhaa_e
tumhe.n bhulaanaa bhii chaahuu.N to kis tarah bhuuluu.N
ki tum to phir bhii haqiiqat ho ko_ii Khvaab nahii.n



mujhako yaqii.n hai sach kahatii thii.n jo bhii ammii kahatii thii.n
jab mere bachapan ke din the chaa.Nd me.n pariyaa.N rahatii thii.n

ik ye din jab apano.n ne bhii hamase rishtaa to.D liyaa
ik vo din din jab pe.D kii shaaKhe,n bojh hamaaraa sahatii thii.n

ik ye din jab laakho.n Gam aur kaal pa.Daa hai aa.Nsuu kaa
ik vo din jab ek zaraa sii baat pe nadiyaa.N bahatii thii.n

ik ye din jab saarii sa.Dake.n ruuThii ruuThii lagatii hai.n
ik vo din jab 'aao khele.n' saarii galiyaa.N kahatii thii.n

ik ye din jab jaagii raate.n diivaaro.n ko takatii hai.n
ik vo din jab shaaKho.n kii bhii palake.n bojhal rahatii thii.n

ik ye din jab zahan me.n saarii ayyaarii kii baate.n hai.n
ik vo din jab dil me.n saarii bholii baate.n rahatii thii.n

ik ye ghar jis ghar me.n meraa saaz-o-saamaa.N rahataa hai
ik vo ghar jisame.n merii buu.Dhii naanii rahatii thii.n





---vo aaye humari kabr par
diye bujha kar chal diye
nishan to mita hi diya tha
rooh ko bhi roola kar chal diye


---mere marne ke baad ehsaas hoga tumhe
ki yeh duniya itni bhi haseen nahi
dosti, chahat, kadam kadam pe mile chahe
lekin mohabbat ere zahan-e-naseeb nahin


---kabhie kisi roz yoon bhi hota
hamaari haalat tumhari hoti
jo raatein hum ne guzaari mar ke
vo raatin tumne guzaari hoti


---hai naam honto pe ab bhi tumhara
lekin awaaz main pad gayee daraarein
tumhe ye zid hai ke hum bhula de
sawaal hai duniya ko ya apne aapko


---kab se tere intazaar mai deil lagaye tere de-daar bhete hai
teri ek nazar hum par pade, tamanna lagaye hum bhi bhete hai


---raaste main gire hain phool, uthata hai koi koi
muhabbat karte hai sabhi, nibhata hai koi koi


---dhoondhta phirta hoon main logon mai shabahat uski
ke woh khwabon main bhi lagti hai khyalon jaisi


---tapish suraj ki hoti hai, jalna zameen ko parta hai
qusur aankhon ka hota hai, tarapna dil ko parta hai


---mere dil main koi aawaz ubhar aati hai
teri hi surat kitabon nazar aati hai


---satchaye chup nahi sakti, banawti usulon se
khushbu aa nahi sakti, kagaz ke phoolon se


---tumhe dil main basaye rakhta hoon
aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon
tumhe meri nazar na lag jaye
apni nazarein jukhaye rakhta hoon


---tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa hamse kya hui, jo wafa bhi na kar sake


---mohabbat ko meri tumne,aaina kyon samjha
pyar ko meri bujhti, shamma kyon samjha
tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa......na kar sake


kiya tha jo tumne waada, hamsafar banoge
bekhabar tha do kadam tum, chal bhi na sakoge
tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa......na kar sake

mohabbat main karta tha, mohabbat main karta hoon
muskurati raho tum, dua main yeh karta hoon
tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa......na kar sake


---mohabbat karne wale iss duniya mai kum na honge
meri jaan teri mehfil mai bus hum na honge


---mast nazron se dekh lenaa tha
agar tamanna thi aazmane ki
hum to behush youn hi ho jaate
kya zaroorat thi muskurane ki


---dil ko manana agar hota aaasaaan
na karta kisi ko yoon ye pareshaan
tanha na rahta bhari mehfil main
na hoti woh halat jo ho na bayaan


---sookh jaate hain lub, lufz milte nahi
hota nahi humse ishq bayaan
unhe kaise bataoon dil ki lagi
kaise sikhaoon aankhon ki zubaan


---khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai


---aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
apne jhakam kisi ko dikhaaya na karo


---hui hum se ye nadani
kay teri mehfil mein aa baithe
ho kay zameen ki khakh
aasman se dil laga baithe


---dil cheez he aisi hai, dene ko dende
koi kabul karne wala tto mile
hum tto jaan bhi dende


---teri aur meri nazar ka na kabhi baer ho
lo raah main takra gaye, allah khair ho


---galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
samajh sake na koi, woh kitaab hai hum


---ek naam kya likha tera saahil ki rait par
phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi


---tere aazad bande ki, na yeh duniya na who duniya
yahan jeene ki pabandi, wahan marne ki pabandi


---jab paas ho to rukh se, nigahain na morna
jab dour ho to mera, tasavvur na chorna
aye dost!!! dil lagane se pehle ye sonch le
mushkil bahut hai, rishton ki zanjeerain hain torna


---woh to khushbu hai, hawaon main bikhar jayega
masla phool ka hai, phool kidhar jayega
hum to samjhe the ke ik zakham hai bhar jayega
kya khabar thi ke rug-e-jaan main utar jayega


---jab se hua hai woh khwab ki tarah
zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah
khushbu ke kalam se shayad likha tha usne khut
har lafz mahak raha hai gulab ki tarah


---ashq mile to pee lete hain
aap kahe to mar jayen hum
aap kahe to jee lete hain
hum to hain un phoolon jaise
jo kaaton main bhi jee lete hain


---mujh se mut pouch, mere dil ki kahani o hum-dum
is main kuch parda-nashinon ke bhi naam aate hain


---in udaas muskurahaton ke peeche, ghum ke railay hain
ab tumhain kya batayain, ke tum bin kitne akele hain


---mujhe is baaat ka ghum nahi kay badal gaya zamaana
meri zindagi to sirph tum ho, kahin tum na badal jaana


---tasalli ho jayegi, zara itna to bata do
tumhe bhi hitchkiyan aati hain jab hum yad karte hain


---zaruri to nahi, ke batayain labon se dastaan apni
zabaan ek aur bhi hoti hai izhaar ki


---phool khilna chahta hai, kali khilne nahin deti
dil milnaa chahtaa hai, kismat milne nahin deti


---apni aakhon ke samunder main utar jaane do
tera mujrim hoon, mujhe doub ke mar jaane do
zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko
sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane do


---yeh bhi aadab hamare hain, tumhain kya malum
hum tumhain jeet ke harey hain, tumhain kya malum
ek tum ho ke samajhte nahi hum ko apna
ek hum hain ke tumhare hain, tumhain kya maalum


---falak ke teer ka kya nishana tha
idhar mera ghar, udhar uska aaashiyana tha
puhunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed
usi waqt is tofaan ko bhi yahaan aana tha


---tujhko dekhenge to sitare bhi zia maangen ge
pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge


---aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee, kaise ajnabee tum ho
main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanon ki chaandini tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
doston-se wafa ki ummeeden
kis zamaane ke aadmee tum ho


---maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum


---manzil ko paane ke liye saahil ko paar karna parta hai
mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai


---duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
qadam mila ke jo hamare saath aap chali


---duniya. duniya tto ek jadoo ka khilona hai
miljaye tto mitti hai�.miljaye tto mitti hai
kho jaye tto sona hai


---kisi ke vaste rahe kahan badalti hai
tum apne-aap ko badal sake to chalo


---yahi hai zindagi, kuch khab chand umeende
tum in khilono se bhel sako tto chalo


---yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad


---kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
layaa hai koun inko, phalak se utaar ke


---ishq ke lamhe sharaab lagte hain
kuch chehre mehtaab lagte hain
dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
ke har lamhe hi hazaar lagte hain


---na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
magar kya karain apni rahain juda hain


---apne aap se aajtak yhe zindagi
teri hi yaad main gum rahi
phir bhi jaane kyon yeh ihsaas hai
jaise chaahat meri kam rahi


---mast nazron se dekh lena tha
agar tamanna thi aazmane ki
hum to behosh yu hi hojate
kya zuroorat thi muskurane ki


---woh aayen ghar men hamare, khuda ki qudrat hai
kabhi ham unko, kabhi apne ghar ko dekhte hain


---main aap apni talaash mein hoon
mera koi rahnuma nahin hai
who kya dikhayenge raah mujhko
jinhe khud apna pataa nahin hai
ye inke mandir, ye inki masjid
ye zarparaston ki sajdaagahen
agar ye inke khuda ka ghar hai
to inmein mera khuda nahin hai


---is shahar ke ek ek chehre ki
aankhon mein pirokar dekha hai
dil dil mein dekha hai sehra
aankhon mein samandar dekha hai


---har seenay main ek dil hota hai
har dil main ek yaad hoti hai
mumkin nahin ki kar koi bana de taj mahal, lekin
har dil main ek mumtaj hoti hai


---hamen bhi aa padaa hai doston se kaam kuchh
yaani hamaare doston ke bewafa hone ka waqt aaya


---zindagi kuch bhi nahi hum phir bhi jiye jaaten hain
teri khushi ke liye, e dost
lo aaj hum phir tum par ek ehsaan kie jaaten hain


---ek bhool, ek nadani, ek hadsa ban gayi
barson ki atoot yaari mitti mein mil gayi
humne pukara tha zor se kal tumhein
lekin usi waqt besharm se ek aandhi chal gayi


---pehlee baar tumhe dekha toh nazar tumse juda na thi
humne tto pehlee baar he tumhe apna maan liya
tumhara pyar itna such tha, ke
hamein tumne apna bana liya


---ab ke hum bitchre to shayad kabhi khawbon main mile
jis tarah sukhay hue patte kitabon main mile
dhoond ujray hue logon main wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon main mile
ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar main shamil kar loon
nasha barhta hai sharabain jo sharabon main mile
too khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain to kyon hijabon main mile
aaj hum dar ye khainchainge jin baton par
kya ajub kal woh zamane ko nasibon main mile
ab na woh hain, na woh tu hai, na woh maze hain faraz
jaise do shakhs tamanna ke sailabon main mile
ab ke hum bitchre to shayad kabhi khawbon main mile


---sapna dekhte hain raat ko aashiqui ka
aur darte hain ki jaldi subah na ho
mashooq dhoondhte hain khoobsurat koi
aur darte hain ki wo bewafa na ho


---ye tanhai, in shamon ki, khamoshiyon ka manzar
dekhna tum chaho gar, to le lo meri nazar


---woh kya jaane kiss haal mein hai hum
hanste hain wau, raute hain hum
humme hai yakeen akayle wau nahin
bin unke magur kittne tanhaa hain hum


---jis shamm mere lab per tera naam na aaye
khuda karee aaise shamm na aaye
dil jaane vafa, yea kabhi mumkin he nahie
aafsana likhu aur tera naam na aaye


---ishq toh hazaroon karte hain
par aashiq sab ka naam nahin
khabi tum marte ho, khabe hum martein hain
aye yaroon, yeh sab ka kaam nahin


---yarab hamari ah mein kuch asar nahin
mertey hain jiskey wastey , us ko khabar nahin


---hum to kab se apni jan hatheli per liyen rakhe hani
khambaakht koi leta hi nahin


---adalat husn ki hogi
masla ishq ka hoga
gawahi mera dil dega
mujrim tera pyar ho ga


---uska pyaar hae ke hum paa nahin sakte
tumhara pyaar hae ke hum lota nahin sakte


---yaadon meh baste ho, kiyaloon meh milteh ho
ankoon seh door ho, magar phir be kareeb ho


---meri dil ki arzu yeh ti, keh tereh kadmoh meh dam nikleh
bewafa tum nahin badkismat ham nikleh


---na salam yaad rakna, na peghaam yaad rakna
bas itni si intajah yai, mehra naam yaad rakna


---dil dard karta hain jis ki duwa tum ho
agar qiyamat ka daar na hota
toh keh dehteh khuda tum ho


---dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyun hai aisa udaas kya jaane
keh diya maine haal aur dil apna
isko hum jaane ya khuda jaane


---phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain
phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain
yaade to dil me rehti hai,dost mil kar bichad jate hain


---bari mushkil me hu
mein kaise izhaar karu
tu to khushbu hain
tujhe kaise giraftar karu


---aasmaan se gira ek chaand ka tukda
usse bhi sundar aapka mukhra


---na jina mila na marna mila
mila to teri yaad me tarapna mila


---dil diya to
jaan bhi de dena
magar yeh yaad rakhna
kisiko dhoka mat dena


---khilte hai gul yaha, khilke bikherne ko
milte hai dil yaha, milke bicharne ko


---ay khat ke parne wale, zara dil lagake parna
aansu na nikal aaye, zara muskurake parna


---na yeh chaand hoga na tare hoge
magar hum hamesha tumhare rahenge


---bewaqufo ki kami nahi gahlib
ek dundho to hazaar milteh hai


---log pyaar ko mitti ka bana hua ek khilona samajte hai
jab chaha tabh tordiya, jab chaha chordiya


---chaand ki raton mei sara jahaan sota hai
lekin teri yaadon mei koi badnasib rota hai


---dilme yaado ki tarha, aankhon me aansu ki tarha
tum mere paas ho, phoolo me khushbu ki tarha


---mere dilki har dharkan tumhare liye hai
meri har muskurahat tumhari nadaani ke liye hai
tumhari har ada mere dilko churane ke liye hai
abh to meri zindagi tumhare intezaar ke liye hai


---bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte
agar tumse pyaar na hota to tumhe bewafa kaise kehte
phirbhi tumne mere pyaar ka aisa sila diya hai
ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai


---kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
teri yaad jab bhi aayee,tujhe bhula bhulake roye
ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
jise khush hue the likhkar use mita mitake roye


---apnon ne maara hai humko
gairon mein kahan tha dum
kashti bhi apni to doobi
paani jahan tha kam


---mera ikraar tere inkaar se behatar hoga
mera din bhi teri raat se behatar hoga
yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna
mera janazaa teri baaraat se behatar hoga


---us falak ke teer ka kya nishana tha
jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
is toofan ko bhi abhi hi aana tha


---meri dukh ki koyee davaa na karo
mujhko mujhse abhi judaa na karo
yeh sikhaya hain dosti ne hamen
dost bankar kabhi wafaa na karo
ishq hain ishq, yeh mazaak nahin
chand lamhon mein faisla na karo
ashiqui ho ya bandgee, 'faakir'
bedillee se to ibtida na karo


---sar jukaogay to, pathar devta ho jayega
itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega


---huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aa'h bethay
ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay


---kaun rakhta hai yaad naamo ko
logh chehro ko bhool jate hai
tum samandar ki baat karti ho
logh ankho mein doob jatey hai
mohabat jisey kerni ho
wo mohabat kya janey
mera dil unhe ab bhi chahta hai
unka dil ko khuda jaane


---chupa chupake raat din aansu bahaanaa yaad hai
humko ab tak, aashiqui ka, wo zamaanaa yaad hai


---jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
woh to bhool gaye hume kahani ki tarah


---waqt ke saath badal jaaye
use pyaar nahi kehte
musibat se jo darr jaaye
use yaar nahi kehte


---keh de aye chand, dost se
bewafa na samjhe
nazaro se door hai
par dil se juda na samjhe


---kya likhu, likha nahi jaata
bin tere ab raha nahi jaata
yeh kaisi uljhan hai, yeh kaisi bebasi hai
jee raho hoon istarah pher bhi jeeya nahi jaata


---humne kitni koshish ki unhe manane ki
na jaane kaha se seekh li unhone
yeh ada zidd par add jaane ki


---tera gam mujhe isliye gavara hai
ke zindagi jeene ka yahi to ek sahara hai


---tumne bhi rangoli sajayi hogi
matwaali diwaali manayi hogi
bujha hua chirag dekhkar
humari yaad to aayi hogi




Hosted by www.Geocities.ws

1