Momin

Posted by:
[email protected] (Umang Bali)
Date: 03 Jun 1997 14:58:39 GMT

Woh jo hum mein tum mein qaraar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho,
Wohi wada yaani nibaah ka, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh jo lutf mujh pe the peshtar, woh karam ke the mere haal par,
Mujhe sab he yaad zara zara, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh naye gile woh shikayaten, woh maze maze ki hikayaten,
Woh harek baat pe ruthna tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Hue ittefaq se gar baham, to wafa jatane ko bardabadam,
Gila-e-malaamat-e-aqraba, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Koi baat aisi gar hui, ke tumhare ji ko buri lagi,
To bayaan se pehle hi bhoolna, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Kabhi hum mein tum mein bhi chah thi, kabhi hum mein tum mein bhi rah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh bigarna wasal ki raat ka, woh na maanana kisi baat ka,
Woh nahin, nahin ki har aan ada, tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Jise aap ginte the aashna, jise aap kahte the ba-wafa,
Main wohi hun Momin-e-mubtala, tumhen yaad ho ke na yaad ho.

1
Hosted by www.Geocities.ws