thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

Ghazal

- Sahar Ansari

hameen nabz-shanaas bhi waqt ke they ki bahaar-o-khazaan ke aseer hue
kabhi sar-sar-e-dasht ki tarah phirey kabhi nikhat-e-gul ke safeer hue

yahan naam-o-namood pe fakhr hi kya, ye nasheb-o-faraaz hayaat ke hain
baney shaah jo farq pe taaj rakhey, wahi kaasa badast faqeer hue

yahan waqt ka kaun sa roop nahin, yahan chhaon nahin hai ke dhoop nahin
kabhi mehr bhi zarron ke dast-nigar, kabhi zarrey bhi maah-e-muneer hue

rahi sood-o-ziyaan ki hi baat magar tere harf do harf ke bolne se
tera kaun sa aisa khasaara hua, hameen kaun se aisey ameer hue

kabhi maslihaton ko sanwaarne par, kabhi rasm-e-zamaana nibaahne par
mili daad-e-hawaa-o-hawas to bohot, magar apni nazar men haqeer hue

kabhi duzd baney, kbhi sh'er likhey, kabhi ishq kiya, kabhi jog liya
kabhi saare naqaab utaar diye to ham aap hi apni nazeer hue

kaf-e-shuhna se rizq bhi lete rahey, shab-e-hijr men jee bhi jalaate rahey
wahi log jo ehl-e-khabar they 'sehar', wahi log jo 'ghalib'-o-'meer' hue


Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1