thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

koi aur tarah ki baat karo

- Muneer Niyazi

koi aur tarah ki baat karo
dil jis se sab ka behel jaaye
dhyaan aur taraf ko nikal jaaye

koi aur tarah ki baat karo
dhyaan aur taraf ko nikal jaaye
kisee aur khayaal men dhal jaaye
bemasraf din ke aakhir par
ye dhaltee shaam sambhal jaaye
is sakht maqaam zamaane ka
ye sakht maqaam badal jaaye

koi aur tarah ki baat karo
kisi ghaat pe kashtee aan lagey
koi nayee-nayee pehchaan lage
koi nayaa-nayaa anjaan lagey
bemasraf din ke aakhir par
ye dhaltee shaam sambhal jaaye
koi aur tarah ki baat karo


Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1